Search karneka Aasaan Tareeqaah sirf number daalkar search karne se bahoot saare dusre posts bhee search result mein aayenge jaise aaj ka sabaq no. 1 chaahiye toah agar sirf 1 search karenge toah aaj kao sabaq 1 ke saath saath 11, 111 aur sirf aaj ka sabaq hi naheen aaj ka dars e quraan ke bhee 1, 11 wagairaah aa jaayengaa eesliye subject aur number daaliye jaise ● aaj kaa dars e quraan 1, 2, 3....1111 ya sirf quraan 1, 2....1111 ● huquq ul ibaad 1 2 3.....500 yaa sirf Rights 1, 2 ....500 ● MaaBaap-1, 2, 100 ● jhuth 1, 2, 3 ...100 ● s akhawat 1, 2, ....200 ● fazail e duruud 1 2 3.....500 ● hayaatuusSahaabaah 1 2 3....1100 ● sirat un nabi 1 2 3....1100 ● sirat e ambiyaa 1 2 3...1111 ● valentine day ● 31st dec. aur 1st jan ki raat ka night ka... ● april fool ● Rama'Zaan ul Mubaarak ke Fazail aur Masail 1, 2 , ...30 ● Miraas ko Taqseem karna 1, 2, ....100 ● Note 1 2 3 ● Bumper Offer zil hijja ke 9 rozeh ● 1 2 3 talaaq ● radd e shakeel ● dajjaal ● mazaaq ● Aaj hee Apney Maa...
Maaldaar banney ka Anmool Nuskhaah
No.1 Website for Aaj ka Sabaq
AAJ KA WAZEEFA NO. 02
AAJ KA SABAQ by HAZRAT MUFTI ASIF LAAJPURI sb db
Maaldaar banney ka Anmool Nuskhaah Kaarobaar (bussiness) mein Taraqqee (increment) aur Maaldaar (rich) bananey wala Anmool Duruud shareef
Rozaanaa 313/Ziyaadaah Martaba Padhiye :
ALLAHumma Salli Alaa Muhammadin Abdika wa
Rasuulika wa Salli Alal Mu’mineen wal Mu’minaat
wal Muslimeen wal Muslimaat
*Momin aur #Muslim :
*Muamin = Imaan (belief) ki Tamaam Zaahiri aur Gayb ki Baaton ko DiLoDimaag se Qubuul karnewala Insaan.
#Muslim = Sunnaton ke Mutabiq Denee – Dunyaawee kaam karney wala Momin.
Mafhumi Tarjama : aye ALLAH...Rahmat Naazeel Farma Muhammad (sal) par (jo Terey) Bande aur Rasul (hai) aur Rahmat Naazeel Farma (tamaam) Muamin* Mardo aur Muamin* Avrato par aur Muslim# Mardo aur Muslim# Avrato par.
Notes : Ye Duruud Shareef ka Segaah, Rozana 313 Martaba Padhne ka Nuskhaah aur Kaarobaar mein Taraqqee/Maaldaari ki Fazilat Hazrat Allamah Makhdum Muhammad Haashim Sindhi rh ki beMisaal Kitaab 'ZareeAt ul Vus ul Ilaa JanaabirRasul' ke safha number 157 par likhi hai. Hazrat Mavlana Muhammad Yusuf Ludhyaanvee Shaheed rh ne isey Mujarrab Wazeefa bataya hai aur Ulma bhi issey mutafiq hai aur Shaikh ul Hadees Hazrat Mavlana Muhammad Zakariya Kandhalvee rh ki MashHuur aur maaruf Kitaab 'Fazail e Aamaal/Fazail e Duruud' jild-1 safha No.27 par bhi hai.


Comments
Post a Comment