Skip to main content

Posts

Showing posts from November 22, 2015

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-46 | Huquq ul Ibaad - 34

Aaj ka Sabaq no 46 Huquq ul Ibaad no 34 Download Audio Huquq ul Ibaad - 34 Bhalaai yaani Kya ?? يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا ارْكَعُوا وَاسْجُدُوا وَاعْبُدُوا رَبَّكُمْ وَافْعَلُوا الْخَيْرَ لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ Mafhumi Tarjama : Bhalai aur Neki ke Kaam karo taake Tum Kaamyaab ho jaao !! Note :- Aaj ka Sabaq ki Audio aur is Image mein Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha gayaa hai, Lafzi yaani Word by Word Tarjame aur Mukammal Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan ya Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan ka mutaala kijiye. Surah (No.22) Hajj Aayaat No. 77 (22:77 part) mein Bhalaai ka Hukm diya hai, Bhalaai ki Tafseel es Hadees mein Mavjud hai :- Ek Musalmaan ke liye Sirf itni Baat Kaafi nahin hai ke wo Dusre Musalmaan (ya koi bhi Insaan) ko Takleef Naa de aur uuspar Zulm aur Ziyaadati Na Karey aur uusko Izaa Rasaani se Bachaaye balke essey Badhkar Ek MUsalma...

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-45 | Huquq ul Ibaad - 33

Aaj ka Sabaq no 45 Huquq ul Ibaad no 33 Download Audio Huquq ul Ibaad - 33 Hamesha Khush Haal Rahne ka Nuskhaah Kal Aaj ka Sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laajpuri sb db ne Sabaq diya tha ke koi bhi hum se Husn e Suluk karey ya BadSuluki karey, Humey toa har haal mein Logon se Husn e Suluk karna chahiye aur koi humarey Kaam aaye ya Naa aaye Humey har haal mein Logon ke Kaam karne hai aur  Humey aisa Mind-Set karna hai aur koi Humarey Husn e Suluk ki Tareef-Shukr-Thanks-Badla de ya Naa de humey toa Khaalees Rizaa e Elaahi ki khaatir logon ko bhalai pahochani hai... Hakim ul Uummat- Mujaddeed e Millat Hazrat Mavlana Shah AshrafAlee Thanvee rh ne Ek Buzurg se uunka Haal Puchha tao Jawaab mila "alhumduLILLAH, Dunya ka har kaam Meri marzi ke mutabiq chal raha hai" !!! jab es baat ka Raaz puchha gaya toa Buzurg ne bataya ke Dunya ka Har Kaam ALLAH ki marzi ke mutabiq chal raha hai aur maine meri Marzi ALLAH ki Marzi ke mutabiq kar di hai isliye mujhe kisi se koi...

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-44 | Huquq ul Ibaad - 32

Aaj ka Sabaq no 44 Huquq ul Ibaad no 32 Download Audio Huquq ul Ibaad - 32 Imaani Mind-Set : Raahat ka Waheed Nuskhaah Huquq ul Ibaad ada karne mein koi kotaahi na ho esliye humey ye thaan lena chahiye ke Log humse Husn e Suluk karey ya BadSuluki karey, humey toa har haal mein sirf Rizaa e Elaahee aur RasulALLAH  صلی اللہ علیہ وسلم  ki Sunnat ada karne ki Niyyat se Rishtedaaro se Husn e Suluk karne ki tAalim di gayi hai aur esliye hi Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ke maWaAez mein ye bataya gaya hai ke Dunya mein Raahat se rahne ka sirf Ek hi Nuskhaah ye hai ke Makhluq se Uummeed khatam kar do yaani fala shakhs mere ye kaam aayenga...fala shakhs mere saath achchhaa suluk karenga wagairaah...jab aisaa Imaani Mind-Set ho jaayenga toa Automatically ALLAH par 100% Tawwakal paidaah ho jaayenga jiske Natije mein koi bhi hum se Husn e Suluk karey ya BadSuluki karey humara Sukuun barbaad Nahin honga kyuke humne pehle...

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-43 | Huquq ul Ibaad - 31

Aaj ka Sabaq no 43 Huquq ul Ibaad no 31 Download Audio Huquq ul Ibaad - 31 HumDardi sirf Rizaa e Elaahi ki Niyyat se Logon ke Dukh-Dard mein Sharik hona ye RasulALLAH  صلی اللہ علیہ وسلم  ki Azeem Sunnaton mein se Ek hai es liye Kisi ka koi bhi kaam karo ya kisi ko kuchh Madad karo ya Bimaar ki Ayaadat-Madad karo toa uusme Niyyat Rizaa e Elaahi ki rakho, Naa ke Shukriya-Taareef-Badle ki Niyyat rakho warna Naa AjroSawaab milenga aur Naa hi khushi mayassar hongi kyuke Ara'bee zubaan mein ek Misaal mashHuur hai :- Al-Aqaareeb, Kal Akaareeb !! Aqaareeb = Rishtedaar | Akaareeb = Bichchhoo yaani Rishtedaar Bichchhoo jaise hotey hai jo Taana-Dankh maarney ki Fikr mein rahte hai, kabhi Raazi Nahin hotey isliye Kisi ke saath bhi Husn e Suluk sirf Rizaa e Elaahi ke liye hi karo...  Nukta RasulALLAH  صلی اللہ علیہ وسلم  ke kuchh hi Rishtedaaron ne RasulALLAH  صلی اللہ علیہ وسلم  par Zulm Nahin kiya lekin RasulALLAH  صلی ا...

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-42 | Huquq ul Ibaad - 30

Aaj ka Sabaq no. 42 Huquq ul Ibaad no.30 Download Audio Huquq ul Ibaad - 30 Rasmee Hadiya Logon ko Raahat-Aaraam pahochane aur Rizaa e Elaahi ki Niyyat se Hadiya Deney wale ko ALLAH ke taraf se aisee samaj ata hoti hai ke wo aisee cheez Hadiye mein deta hai jo Zaahiri toar par toa maamuli Nazar aati hai lekin wo Hadiya paaney wale ke liye bahoot kaam ki cheez hoti hai jaise Tableeghee JamaAt ke mAaruf saathi Hazrat Shah Abdul Aziz rh jab bhi Sahib e mAareef ul QurAan Hazrat Mufti Shafee sahib Deobandi rh ki Ziyaarat par aate toa AjeeboGhareeb Cheezo ka Hadiya pesh karte, maslan kabhi Kagaz ka Dasta (paper pad), kabhi DwAat (Pen), kabhi Roshnaae (Ink) wagaraah...Dikhne mein toa ye Hadiya maamuli nazar aata hai magar esse Sahib e mAareef ul QurAan Deen ke kaam mein Istemaal karte thai !! Daar ul Uuloom Deoband ke Akaabir ki kabhi kabhi Dawaat karne ki Niyyat se Ek Ghaas bechnewale Sahib roz kuchh paisey  jama karte thai...Shaikh ul Hind Hazrat Mufti Mahmud ul Ha...

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-41 | Huquq ul Ibaad - 29

Download Audio Huquq ul Ibaad - 29 InBuilt Ekhlaas wale Chhotey Tohfe ki Qadr karo !! 1) Mafhum e Hadees ke mutabiq Ek Dusre ko Hadiya diya karo, Tumhare darmiyaan aapas mein Muhobbat badhegi... # Ziyaadaatar log Shaadi-Bihaah ke mouke par hi Hadiya-Tohfa dekar sirf Rasm puri kar detey hai, eske ilawa aam dino mein ek dusre ko Tohfa-Hadiya Nahin diya jata aur agar koi Insaan deney ka Iraada bhi karta hai toa uuse ye kehkar mana kar diya jata hai ke es waqt Tohfa deney se kya Faaydaah? uunke yaha fala Taqreeb hone wali hai uus mauke par Tohfa pesh karenge toa zara Naam bhi ho jaayenga aur uus waqt apna booj bhi uutar jaayenga...!! 2) Mafhum e Hadees ke mutabiq ye mat dekho ke Hadiye-Tohfe ke taur par kya cheez di jaa rahi hai balki ye dekho ke kis jasbe ke saath wo Tohfa-Hadiya diya ja raha hai... # Dikhawe aur NaamoNamud ki Niyyat diya gaye Tohfe se Hazaar guna behtar wo Chhota Tohfa hai jo Ekhlaas se diya gaya ho... 3) Mafhum e Hadees ke mutabiq Padoos se Ha...

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-40 | Huquq ul Ibaad - 28

Aaj ka Sabaq no 40 Huquq ul Ibaad no 28 Download Audio Huquq ul Ibaad - 28 Tohfe-Hadiye ka Intizaar !! Tohfe-Hadiye-Gift ka Muntazeer-Taalib hota hai toa uus haasil hue Tohfe-Hadiye-Gift mein Barkat Nahin hongi kyuke Tohfa-Hadiya-Gift milne se pehle hi apnee Nafsaani Garz bhi Shameel ho gayi thi lekin Jo Tohfa-Hadiya-Gift Bila Intizaar, Bila Talab/Khwaeesh haasil ho uusmein Barkat hoti hai !!  Har koi jaanta hai ke ALLAHwalon (Darwesh-Buzurg) ka Badey-Badey Kathin Haalaat se guzar hota hai...aisey hi Ek ALLAHwaley  par kuchh din se Faaqoh (bukh) ki Nobat aa gayee...KhaanQauh mein uunka Ruhaanee WaAz (spritual discouse) bukh-kamzoori ki sheeddat ki wajeh se bahoot Past aawaaz mein  jaari tha...Ek Mureed (devotee) ko es baat ka ahsaas ho gaya esliye wo Majlees se uuthkar apney Shaikh e Kaamil ke liye Khaane ka intizaam karne chala gaya...WaAz ke baad Mureed ne Khaane ka Dhaal pesh kiya magar Shaikh ne Dhaal Qubuul Naa kiya, Mureed bhi Raaz samaj gaya...