Search karneka Aasaan Tareeqaah sirf number daalkar search karne se bahoot saare dusre posts bhee search result mein aayenge jaise aaj ka sabaq no. 1 chaahiye toah agar sirf 1 search karenge toah aaj kao sabaq 1 ke saath saath 11, 111 aur sirf aaj ka sabaq hi naheen aaj ka dars e quraan ke bhee 1, 11 wagairaah aa jaayengaa eesliye subject aur number daaliye jaise ● aaj kaa dars e quraan 1, 2, 3....1111 ya sirf quraan 1, 2....1111 ● huquq ul ibaad 1 2 3.....500 yaa sirf Rights 1, 2 ....500 ● MaaBaap-1, 2, 100 ● jhuth 1, 2, 3 ...100 ● s akhawat 1, 2, ....200 ● fazail e duruud 1 2 3.....500 ● hayaatuusSahaabaah 1 2 3....1100 ● sirat un nabi 1 2 3....1100 ● sirat e ambiyaa 1 2 3...1111 ● valentine day ● 31st dec. aur 1st jan ki raat ka night ka... ● april fool ● Rama'Zaan ul Mubaarak ke Fazail aur Masail 1, 2 , ...30 ● Miraas ko Taqseem karna 1, 2, ....100 ● Note 1 2 3 ● Bumper Offer zil hijja ke 9 rozeh ● 1 2 3 talaaq ● radd e shakeel ● dajjaal ● mazaaq ● Aaj hee Apney Maa...
Aaj ka Sabaq No. 26 Huquq ul Ibaad - 14 Download Audio Huquq ul Ibaad - 14 Pehle Tolo Phir Bolo !! mafhum e Hadsees ke mutabiq RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ka Farmaan hai ke : Sachcha-Pakka aur Kaamil ul Musalmaan wohi hai jiske Haath aur Zubaan se Dusre Musalmaan (aur har Insaan) Mahfuz rahe !! (Tirmizi Shareef, Kitaab ul Imaan, Baab-12) Shaikh ul Islaam Hazrat Mavlana Taqee Usmaani sahib db ne farmaya ke : Baaz logon ki Zubaan mein Dankh hota hai jisse Insaano ke Dilo ke bich Nafrat paidaah ho jaati hai. Shaikh ul Islaam Hazrat Mavlana Taqee Usmaani sahib db ne farmaya ke Ek Bahu apnee Saas ko Buraa-Bhala kah rahi thi aur Saas sunn rahi thi, jab saas se wajeh puchhee gayi toa uusne kaha ke meine toa sirf 2 Bol meri bahu ko kahe thai jisse uuska Dimaag garam ho gaya aur wo mujhe Buraa-bhala kah rahi hai !! Saas se puchha gaya ke wo 2 Bol kya thay ?? Saas ne jawab diya ke maine iske waalid sahib ko Ghulaam aur iski Waleedaa ko Londi kah diya !!!!...