Skip to main content

Posts

Showing posts from November 29, 2015

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-53 | Huquq ul Ibaad/Human Rights - 41

Aaj ka Sabaq no 53 Huquq ul Ibaad no 41 Download Audio Laila Majnuun Kal Aaj Ka Sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laajpuri sb db ne bataaya tha  :- Mafhum e Hadees : Jo Dusro par Raham karne wale hai, RAHMAAN (bhi) uunpar Raham karta hai...Zameen walo par Tum Raham karo, AASMAAN WALA (bhi) Tum par Raham karenga...  (AbuDaawuud Shareef Kitaab ul Adab, Baab ul Rahmaa) Jab kisi Mahbuub se Mahabbat hoti hai toa phir uus Mahbuub ki har cheez se Mahabbat ho jaati hai... Majnuun kehta hai Jab mai Laila ke Watan se Guzarta hu jaha wo rahti hai toa Mai kabhi uus Diwaar ko Piyaar karta hu Kabhi es Diwaar ko Piyaar karta hu kyuke Ye Diwaare mere Mahbub ki Diwaare hai es wajeh se Mujhe inn Diwwaron se Mahabbat hai esliye jab mai in Diwaaron ke Paas se Guzarta hu toa inn Diwwaron ko Chumta hu... Ponder...Sochoo...Jab ek Majnuun ko Laila ke Shaher ki Diwaaron se Ish'q ho jaaye toa phir kya wajeh hai ke hume ALLAH se Mahabbat ho lekin ALLAH ki Paidaah ki hue Makhluk se...

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-52 | Huquq ul Ibaad/Human Rights - 40

Aaj ka Sabaq no 52 Huquq ul Ibaad no 40 Download Audio Naramkhooe-Softness وَإِن كَانَ ذُو عُسْرَةٍ فَنَظِرَةٌ إِلَىٰ مَيْسَرَةٍ َ Mafhumi Tarjama : (Tumhara) Maqruz (qarazdaar agar) Tangdast (hai) toa (phir ek momin ka kaam ye hai ke uusko uus waqt tak ki dhil/mouka) Muhallat do (uuski) Faraakhi (jab tak uuska haath khul na jaaye, uuski Tangdasti Dur Naa ho, Uus mein qarz Adaaygee ki Taaqat Paidaah Naa ho jaaye) tak ki... Surah (No.02) Baqarah Aayaat No. 280 (02:280 part) Kal Aaj Ka Sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laajpuri sb db ne bataaya tha ke Maqruz ko Qarz ki Adaaygee mein Muhallat deneka ALLAH ne Hukm diya hai...ab aage padhiye... kisi Maqruz ne Qarzdaar se Waada kiya hai ke fula Din/Taarikh/Waqt mein wo Qarz ki Adaaygee kar denga magar koi bhi wajeh wo Qarz ada Nahin kar saka toa uusey Dhil deni chahiye, Narmi ka maamla karna chahiye kyuke Sirf ye mat dekho ke kitney Paisey hai balki ye Socho ke Muhallat deney aur Narmi baratne ke Sadqe mein Qayaamat...

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-51 | Huquq ul Ibaad - 39

Aaj ka Sabaq no 51 Huquq ul Ibaad no 39 Download Audio Huquq ul Ibaad - 39 Maqruz ko Muhallat Dena Mafhumi Tarjama : (Tumhara) Maqruz (qarazdaar agar) Tangdast (hai) toa (phir ek momin ka kaam ye hai ke uusko uus waqt tak ki dhil/mouka) Muhoollat do (uuski) Faraakhi (jab tak uuska haath khul na jaaye, uuski Tangdasti Dur Naa ho) tak ki... Surah (No.02) Baqarah Aayaat No. 280 (02:280 part)   Pichhley Aaj Ka Sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laajpuri sb db ne bataaya tha ke Sachchaa-Pakka Momin aur Muslim banna toa Bahoot Badi (dur ki) Baat hai, pehle Insaan toa ban jaao....yaani Insaaniyat ke jo jo Takaaze hai uusko toa pehle Ada kar lo....Pichhley aSbaaq mein Hazrat Abu Hurairaah razi. ki Riwaayat wali Mafhum e Hadees bayaan ki thi jismein Pehla aur Dusra Jumla ye tha : * Jo Shakhs kisi Momin (ya Insaan) ki Dunya ki koi bhi Becheni Dur karenga toa ALLAH uusko Qayaamat ki Sakhtiyo mein se Ek Sakhti/Becheni se Dur Farmaayenga !!  * Jo Shakhs koi Tangdast ...

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-50 | Huquq ul Ibaad - 38

Aaj ka Sabaq no 50 Huquq ul Ibaad no 38 Download Audio Huquq ul Ibaad - 38 HamDardee kal ke Aaj Ka Sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laajpuri sb db ne bataaya tha ke Har Insaan ye kehta hai ke Dunya ke Tamaam Insaan Bhai-Bhai hai lekin jab Amal ka Waqt aata hai tab wo ye Daawa bhul jata hai, Shaikh ul Islaam Hazrat Mufti Taqee usmaani Sahib db ne Ek martaba dekha ke Ek Car Ek Insaan ko Takkar maarkar chali gayee aur Takkar khane wala Insaan zakhmi hokar gir gaya lekin Takkar maarne wali Car ka Driver ya Dursi Car ke log uuse raaste par zakhmi haalat mein dekhte rahe lekin kisi ne Car rokkar uusko hospital pahochaney ki koshish Nahin ki !! HamDardee ab Humarey DiL mein Insaan ko Dunya ki Museebat se Bachaane ka Dard Nahin hai toa Hamaarey DiL mein gairImaani Insaano ko Imaan ki Daawat dekar Dozakh se Bachaney ka Dard Kaise Paidaah honga !! ----------------------------------- RaDd e MudDaaee:  Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamp...

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-49 | Huquq ul Ibaad - 37

Aaj ka Sabaq no 49 Huquq ul Ibaad no 37 Download Audio Huquq ul Ibaad - 37 Being Human, Human Being !! Aaj Ka Sabaq ke pichhley asbaaq  mein Hazrat Mufti Asif Laajpuri sb db ne ye QurAan ki ye aayaat aur Mafhum e Hadees bataayee thee :- يَا أَيُّهَا النَّاسُ إِنَّا خَلَقْنَاكُم مِّن ذَكَرٍ وَأُنثَىٰ وَجَعَلْنَاكُمْ شُعُوبًا وَقَبَائِلَ لِتَعَارَفُوا إِنَّ أَكْرَمَكُمْ عِندَ اللَّهِ أَتْقَاكُمْ إِنَّ اللَّهَ عَلِيمٌ خَبِيرٌ Mafhumi Tarjama :  aye Logon... Beshak Humne Paidaah kiya (Tum sab ko) Ek Mard (Hazrat Adam a.s.) aur Ek Avrat (Hazrat Maa Hawwa razi.) se aur Banaaye Humney Tumhaarey Mukhtalif Kabiley-Kumbe aur Khaandaan banaaye  taake Pehchaan sako Ek Dusro ko, Yakeenan Bahoot Akram (shareef)  hai wo (insaan) Tum mein se ALLAH ke Nazdik jo Muttaqee (ALLAH se Darneywala/Gunaah se bachney wala)  ho...!! Surah (No.49) Hujuraat Aayaat No. 13 (49:13 part)     Ek Musalmaan ke liye Sirf itni Baat Kaafi nahin hai ke ...

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-48 | Huquq ul Ibaad - 36

Aaj ka Sabaq no 48 Huquq ul Ibaad no 36 Download Audio Huquq ul Ibaad - 36 Anmool Nabwee tAalim : Har Insaan ko Bhai samjo Aaj Ka Sabaq ke pichhley asbaaq  mein Hazrat Mufti Asif Laajpuri sb db ne ye QurAan ki ye aayaat aur Mafhum e Hadees bataayee thee :- يَا أَيُّهَا النَّاسُ إِنَّا خَلَقْنَاكُم مِّن ذَكَرٍ وَأُنثَىٰ وَجَعَلْنَاكُمْ شُعُوبًا وَقَبَائِلَ لِتَعَارَفُوا إِنَّ أَكْرَمَكُمْ عِندَ اللَّهِ أَتْقَاكُمْ إِنَّ اللَّهَ عَلِيمٌ خَبِيرٌ Mafhumi Tarjama :  aye Logon... Beshak Humne Paidaah kiya (Tum sab ko) Ek Mard (Hazrat Adam a.s.) aur Ek Avrat (Hazrat Maa Hawwa razi.) se aur Banaaye Humney Tumhaarey Mukhtalif Kabiley-Kumbe aur Khaandaan banaaye  taake Pehchaan sako Ek Dusro ko, Yakeenan Bahoot Akram (shareef)  hai wo (insaan) Tum mein se ALLAH ke Nazdik jo Muttaqee (ALLAH se Darneywala/Gunaah se bachney wala)  ho...!! Surah (No.49) Hujuraat Aayaat No. 13 (49:13 part)   Ek Musalmaan ke liye Sirf itni...

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-47 | Huquq ul Ibaad - 35

Aaj ka Sabaq no 47 Huquq ul Ibaad no 35 Download Audio Huquq ul Ibaad - 35 QurAan ka Paighaam : Har Insaan Ek-Durse ka Bhai hai يَا أَيُّهَا النَّاسُ إِنَّا خَلَقْنَاكُم مِّن ذَكَرٍ وَأُنثَىٰ وَجَعَلْنَاكُمْ شُعُوبًا وَقَبَائِلَ لِتَعَارَفُوا إِنَّ أَكْرَمَكُمْ عِندَ اللَّهِ أَتْقَاكُمْ إِنَّ اللَّهَ عَلِيمٌ خَبِيرٌ Mafhumi Tarjama : aye Logon... Beshak Humne Paidaah kiya (Tum sab ko) Ek Mard (Hazrat Adam a.s.) aur Ek Avrat (Hazrat Maa Hawwa razi.) se aur Banaaye Humney Tumhaarey Kumbe aur Kabiley taake Pehchaan sako Ek Dusro ko, Yakeenan Bahoot Akram (shareef)   hai wo (insaan) Tum mein se ALLAH ke Nazdik jo Muttaqee hai...!! Surah (No.49) Hujuraat Aayaat No. 13 (49:13 part) Kal ke Aaj Ka Sabaq ( No. MAL-AKS-46)  mein Hazrat Mufti Asif Laajpuri sb db ne ye Mafhum e Hadees bataayee thee :- Ek Musalmaan ke liye Sirf itni Baat Kaafi nahin hai ke wo Dusre Musalmaan (ya koi bhi Insaan) ko Takleef Naa de aur uuspar Zulm aur Ziyaadati Na...