Skip to main content

Aaj ka Sabaq How to Search Aaj ka Sabq ? | Talaash kaise karey?

Search karneka Aasaan Tareeqaah sirf number daalkar search karne se bahoot saare dusre posts bhee search result mein aayenge jaise aaj ka sabaq no. 1 chaahiye toah agar sirf 1 search karenge toah aaj kao sabaq 1 ke saath saath 11, 111 aur sirf aaj ka sabaq hi naheen aaj ka dars e quraan ke bhee 1, 11 wagairaah aa jaayengaa eesliye subject aur number daaliye jaise ● aaj kaa dars e quraan 1, 2, 3....1111 ya sirf quraan 1, 2....1111 ● huquq ul ibaad  1 2 3.....500 yaa sirf Rights 1, 2 ....500 ● MaaBaap-1, 2, 100 ● jhuth 1, 2, 3 ...100 ● s akhawat 1, 2, ....200 ● fazail e duruud 1 2 3.....500 ● hayaatuusSahaabaah 1 2 3....1100 ● sirat un nabi 1 2 3....1100 ● sirat e ambiyaa 1 2 3...1111 ● valentine day ● 31st dec. aur 1st jan ki raat ka night ka... ● april fool ● Rama'Zaan ul Mubaarak ke Fazail aur Masail 1, 2 , ...30 ●  Miraas ko Taqseem karna 1, 2, ....100 ● Note 1 2 3 ● Bumper Offer zil hijja ke 9 rozeh ● 1 2 3 talaaq ● radd e shakeel ● dajjaal ● mazaaq ● Aaj hee Apney Maa...

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-49 | Huquq ul Ibaad - 37

Aaj ka Sabaq no 49
Huquq ul Ibaad no 37

Huquq ul Ibaad - 37

Being Human, Human Being !!
Aaj Ka Sabaq ke pichhley asbaaq  mein Hazrat Mufti Asif Laajpuri sb db ne ye QurAan ki ye aayaat aur Mafhum e Hadees bataayee thee :-
يَا أَيُّهَا النَّاسُ إِنَّا خَلَقْنَاكُم مِّن ذَكَرٍ وَأُنثَىٰ وَجَعَلْنَاكُمْ شُعُوبًا وَقَبَائِلَ لِتَعَارَفُوا إِنَّ أَكْرَمَكُمْ عِندَ اللَّهِ أَتْقَاكُمْ إِنَّ اللَّهَ عَلِيمٌ خَبِيرٌ

Mafhumi Tarjama : 
aye Logon... Beshak Humne Paidaah kiya (Tum sab ko) Ek Mard (Hazrat Adam a.s.) aur Ek Avrat (Hazrat Maa Hawwa razi.) se aur Banaaye Humney Tumhaarey Mukhtalif Kabiley-Kumbe aur Khaandaan banaaye  taake Pehchaan sako Ek Dusro ko, Yakeenan Bahoot Akram (shareef)  hai wo (insaan) Tum mein se ALLAH ke Nazdik jo Muttaqee (ALLAH se Darneywala/Gunaah se bachney wala)  ho...!!
Surah (No.49) Hujuraat Aayaat No. 13 (49:13 part)  
Ek Musalmaan ke liye Sirf itni Baat Kaafi nahin hai ke wo Dusre Musalmaan (ya koi bhi Insaan) ko Takleef Naa de aur uuspar Zulm aur Ziyaadati Na Karey aur uusko Izaa Rasaani se Bachaaye balke essey Badhkar Ek MUsalmaan ka Kaam ye hai ke wo Dusre Musalmaan (aur har Insaan) ke Kaam aaye aur uuski Zarurat aur Haajat ko Apnee Istetaat ki Had tak Pura karey aur agar koi Musalmaan (ya koi bhi Insaan) koi Mushkeel aur Pareshaani mein Giriftaar hai uusko uus Pareshaani se Nikaalne ki Koshish karey toa ye Pareshani Dur karnewale par jo sakhti Qayaamat mein aane wali thi uusmein se Ek sakhti ALLAH Dur Farmaa detey hai aur jo koi kisi Musalmaan (ya Insaan ki) PardaahPooshee (aeb chhupaaye) karey toa Qayaamat ke Din ALLAH bhi PardaahPooshee karne wale ke Aeb aur Gunaah ki PardaahPooshee karenga !!
(Mafhum e Hadees, AbuDawuud Shareef, Kitaab ul adab, Baab ul MuAakhaat, Raavi-Hazrat Abdullah ibn e Umar razi)
Ek Musalmaan ke liye Sirf itni Baat Kaafi nahin hai ke wo Dusre Musalmaan (ya koi bhi Insaan) ko Takleef Naa de aur uuspar Zulm aur Ziyaadati Na Karey aur uusko Izaa Rasaani se Bachaaye balke essey Badhkar Ek MUsalmaan ka Kaam ye hai ke wo Dusre Musalmaan (aur har Insaan) ke Kaam aaye aur uuski Zarurat aur Haajat ko Apnee Istetaat ki Had tak Pura karey aur agar koi Musalmaan (ya koi bhi Insaan) koi Mushkeel aur Pareshaani mein Giriftaar hai uusko uus Pareshaani se Nikaalne ki Koshish karey toa ye Pareshani Dur karnewale par jo sakhti Qayaamat mein aane wali thi uusmein se Ek sakhti ALLAH Dur Farmaa detey hai aur jo koi kisi Musalmaan (ya Insaan ki) PardaahPooshee (aeb chhupaaye) karey toa Qayaamat ke Din ALLAH bhi PardaahPooshee karne wale ke Aeb aur Gunaah ki PardaahPooshee karenga !!
(Mafhum e Hadees, AbuDawuud Shareef, Kitaab ul adab, Baab ul MuAakhaat, Raavi-Hazrat Abdullah ibn e Umar razi ) 

Hadess ke do Uusul Aaj Ka Sabaq ke pichhley asbaaq mein Hazrat Mufti Asif Laajpuri sb db ne bataaye thai, Tisra uusul ye hai ke kisi bhi Insaan par Zulm mat karo aur Kisi ka Maal-Izzat-Aabru par hamlaah naa karo saath hi uusko BeYaaroMadadgaar bhi Naa karo yaani uusko koi Pareshaani-Mushkeel mein dekhkar Nazar andaaz Naa karo balki Uuski Pareshaani dur karo aur uusko Mushkeel se Nijaat mil jaaye ye Tadbeer karo !!

Note :- Aaj ka Sabaq ki Audio aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama  bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.

Nukta

Har Insaan ye kehta hai ke Dunya ke Tamaam Insaan Bhai-Bhai hai lekin jab Amal ka Waqt aata hai, kisi ko Madad karne ka Waqt aata hai toa Farq Shuru ho jata hai ke Fula Hindu hai, Fula Musalmaan hai, Fala OBC hai, Fala Hamare Mulk ka Nahin hai, Fala Humarey Aqeedey ka Nahin hai wagairaah.... 
-----------------------------------

RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..

Comments

Popular posts from this blog

ChaandRaat kee SunnatDuAa Padh lijiye MangaĹ 16 June '26 ChaandRaat ki SunnatDuAa Padh lijiye Aaj Ka Sabaq Hazrat Mufti Asif Lajpuri Saahibدامت برکاتہم العالیہka Aaj Ka Sabaqआज क़ा सबक़آج کا سبق Aaj ka Sabaq https://www.aajkasabaq.com World No.1 Website for World No. 1 Aaj ka Sabaq Aaj Ka Dars e QurAan Aaj ka Wazeefa SpeciaL Aaj ka Sabaq by Hazrat Mufti Asif Lajpuri Saahib DB. Mail your Mobile Number to aajkasabaq.com@gmail.com or WhatsApp your Mobile Number to +918689845277 to Join Aaj ka Sabaq WhatsApp Group/BroadCast List.

Download  Audio SPECIAL AAJ KA SABAQ by HAZRAT MUFTI ASIF LAJPURI sb db Maah e Safar uuL MuzafFar  1449 ChaandRaat kee SunnatDuAa Baroz Budh-WednesDay 15 JULY 2026 ko Chaand Dekhkar yaa Chaand Nazar asne kaa Ailaan hotey hee ChaandRaat ke ye SunnayDuAa padhkar 100 Shaheedo kaa Sawaab haaseeL kijiye. اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ عَلَيْنَا بِالْأَمْنِ وَالْإِيْمَانِ وَالسَّلَامَةِ وَالْإِسْلَامِ رَبِّي وَرَبُّكَ اللَّهُ هِلَالُ رُشْدٍ وَخَيْرٍ. ALLAHumma Ahillahu Alayna bil Amni wal Imaani WasSalaamati wal Islaami Rabbi wa Rabbu-KALLAHu Hilaa-lu Rushdiw wa Khayrin. અલ્લાહુમ્મ અહિલ્લહુ અલયના બિલ અમ્ની વલ ઇમાની વસ્સલામતી વલ ઇસ્લામી રબ્બિ વ રબ્બુકલ્લાહ હિલા-લુ રુશદિવ્વ ખયરિન. अल्लाहुम्म अहिल्लहु अलयना बिल् अम्नी वल इमानी वस्सलामति वल इस्लामि रब्बि व रब्बुकल्लाह हिला-लु रुशदिव्व खयरिन । Tarjamaa yaa ALLAH..ees Chaand ko humpar Amno-Amaan, Salaamati aur Islaam ke saath Tulu farmaa. aye Chaand...Tera aur Mera Rabb ek hi hai. aye ALLAH...(humarey liye) ye Hidaayat aur bhalaai wala Chaand ho. ...

Hazrat Mufti Asif Lajpuri Saahib دامتبرکاتkaa SpeciaL Aaj Ka Sabaq Mon 29 June '2026 se shuru Ayyaam e Beez ke3️⃣Rozeh (29-30 June '2026 -1 July '2026 ko) Rakhkar Ek Gaayab-Lupt-Vanished-Disappeared Sunnat ko Zindaah karke 1️⃣0️⃣0️⃣ Shaheedo kaa Sawaab haasiL kijiye...

a Download  Audio SPECIAL AAJ KA SABAQ by HAZRAT MUFTI ASIF LAJPURI sb db Maah e MuharRam uuL Haraam  1449 Ayyaam e Beez ke 3 Sunnat Rozeh Baroz MON.-TUE.-WED. 29-30 JUNE  '2026  aur 1 July '2026 ko Ayyaam e Beez ke 3 SunnatRozeh hein jismein PiR Momday kaa SunnatRozah bhee ShaamiL hein. * Nasaaee Shareef kee Hadees No. 2410 ke Mutabiq Har Mahiney Teen Rozeh rakhna Umar par Rozaah Rakhney Jaisaa hai !! * Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh  ki Kitaab  Beheshti Zevar Safha Number 137 ke mutabiq ye Teen Rozho ka Sawaab Ek Saal ke Rozeh ke Barabur hai !! https://www.aajkasabaq.com/2019/06/no_0.html?m=1 Aaj ka Sabaq aajkasabaq.com