Skip to main content

Posts

Showing posts from November 15, 2015

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-39 | Huquq ul Ibaad - 27

Aaj ka Sabaq no. 39 Huquq ul Ibaad  27 Download Audio Huquq ul Ibaad - 27 Sabse Ziyaadaah Halaal Tohfa-Hadiya kaunsa hai ?? Shaikh ul Islaam Hazrat Mufti Taqee Usmaani sahib (db ma) ke Waleed Marhum aur Sahib e mAareef ul QurAan Hazrat Mufti Shafee sahib Deobandi (rh) Farmate thai ke Insaan jo Maal kamaata hai uusmein Ziyaadati/Kotaahi hone ka imqaan hai lekin wo Hadiya-Tohfa-Gift jo bila Naamo Namud, bila Badle ki Niyaat KhushDiLi aur sirf Riza e Ellahi ke liye Ekhlaas ke saath diya gaya ho wo Hadiya Dunya mein sabse Ziyaadaah Halaal aur Tayyab Maal hai !! Nukta Tohfa-Hadiya-Gift Rizaa e Ellahi ke liye hai ya Rizaa e Nafs ke liye diya gaya hai uuski ye Alaamat hai ke Tohfa-Hadiya-Gift deney ka Maqsad agar Rizaa e Ellahi honga toa Tohfa-Hadiya-Gift deney ke baad Insaan ko Shukriya ya Badle ka Intizaar Nahin rahenga warna jab tak Shukriya-Badla Nahin mil jaata tab tak Tohfa-Hadiya-Gift Deney wala Shukriya-Badle-Thanks ke Intizaar mein Bechen rahta hai aur Shu...

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-38 | Huquq ul Ibaad - 26

Aaj ka Sabaq no. 38 Huquq ul Ibaad 26 Download Audio Huquq ul Ibaad - 26 Nyoota ki Rasm : Tohfe ka Badlaa Deney-Leney ka gairIslaami Tareeqaah !! وَمَا آتَيْتُم مِّن رِّبًا لِّيَرْبُوَ فِي أَمْوَالِ النَّاسِ فَلَا يَرْبُو عِندَ اللَّهِ وَمَا آتَيْتُم مِّن  زَكَاةٍ تُرِيدُونَ وَجْهَ اللَّهِ فَأُولَٰئِكَ هُمُ الْمُضْعِفُونَ Mafhumi Tarjama : ...Tum logon ko Nyoota ke Taur par jo kuchh Hadiyaa ya Tohfa detey ho lekin es khayaal se diya ke wo (bhi) meri Taqreeb par (mujhe) itna hi ya uusse (bhi) ziyaadaah denga taake (merey) Maal mein Izaafa ho toa (ye) Khub Yaad rakho ke ALLAH ke nazdik isme koi Izaafa Nahin honga... Note :- ye Mafhumi Tarjama hai, Lafzi-Word by Word Tarjame ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan ya Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan ka mutaala kijiye. Bukhaari Shareef Kitaab ul Adab, Baab ul Lais Al Waasili Bil Mukaafi ki Hadees Shareef ke Mafhum k...

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-36 | Huquq ul Ibaad - 24

Aaj ka Sabaq No.36 Huquq ul Ibaad no 24 Download Audio Huquq ul Ibaad - 24 Rishtedaaron ke Huquq Huquq ki adaaegee ka dusra naam ShariAt hai ...ShariAt yaani ALLAH ke aur Tamaam Makhluq ke Huquq ada karna hai....ALLAH ke bando mein bhi mukhtalif logon ke mukhtalif Huquq hai jaise Dada-Dadi, Nana-Nani, Maa-Baap, Biwi-Shohar, Chacha-Chachi, Khala-Khalu, Mamu-Mumani, Phufa-Phufi, Saas-Sasur, Bhai-Bhabhi-Nanand-Jeth-Jithani-Dewar-Dewraani, Bahan-Bhanoi, Saala-Saali, Bhanja-bhanji, Bhatija-Bhatiji,  digar Rishtedaar, Padosiyo, HumSafar, Ulma, Usdaad wagairah ke bhi Huquq hai aur in mein se Ek ka bhi Chhota Haq adaygee se rah jaaye toa ShariAt par Amal Naqees hai aur uus shakhs ka Deen Naqees hai...agar kisi ne ALLAH ka Haq toa Ada kar diya lekin ALLAH ke Bando ka Haq Ada Naa kiya toa Deen Kaamil Naa hua aur Deen par amal Adhura rah gaya... Inn mein se Khaas taur par Maa, Baap, Bhai, Bahan, Chacha, Taaya, Biwi, Shohar, Khala aur Mamu ke Khaas Huquq hai. Ponder-soc...

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-35 | Huquq ul Ibaad - 23

Aaj ka Sabaq No. 35 Huquq ul Ibaad no.23 Download Audio Huquq ul Ibaad - 23 SilaaRahmee Muslim Shareef ki Hazrat Abu Hurairaah  صلی اللہ علیہ وسلم  ki Riwaayatwali  mafhum e Hadsees ke mutabiq RasulALLAH  صلی اللہ علیہ وسلم  ka Farmaan hai ke : ALLAH ne Makhluq ko Paidaah farmaaya toa Raheem (Rishtedaari/karabatdaari/Relationship) Khadi hokar arz karne lagi : yaa ALLAH....Mei Apney Haq ke Paamaal hone ki Panaah maangti hu (yaani mujhe Dar hai ke log Rishtedaari ko Toodenge) ALLAH ne jawaab mein Farmaaya : Kya Tum is Baat par Raazi nahin ho ke Mei Ailaan kar du ke Jo Shakhs Tumhaare Haq ko Zaae karenga toa Mei uusko Sazaa dunga ?? Raheem ne is par apnee Razaamandi Zaahir kar di.... ALLAH ne jawaab mein Farmaaya : Mei Tumhe ye Makaam aur Darja deta hu aur ye Ailaan karta hu ke Jo Shakhs Rishtedaari ka Khayaal rakhenga aur Rishtedaaron ke sath achchha Suluk karenga (toa) Mei bhi uuske saath achchha Suluk karunga aur Jo Shakhs Rishted...

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-34 | Huquq ul Ibaad - 22

Aaj ka Sabaq No.34 Huquq ul Ibaad no.22 Download Audio Huquq ul Ibaad - 22 NAMAAZI KO KHALAL PAHOCHANA !! mafhum e Hadsees ke mutabiq RasulALLAH  صلی اللہ علیہ وسلم  ka Farmaan hai ke : Sachcha-Pakka aur Kaamil ul Musalmaan wohi hai jiske Haath aur Zubaan se Dusre Musalmaan (aur har Insaan) Mahfuz rahe !! (Tirmizi Shareef, Kitaab ul Imaan, Baab-12) Ek Shakhs Masjid mein Namaaz ada kar raha hai aur Dusre Shakhs ko uus Namaaz padhnewale se kaam hai isliye wo is tarah uuske qareeb baith jata hai ke Namaazi ko ahsaas ho jaaye ke fala Shakhs ko mujhse kuchh kaam hai lihaza wo Namaaz se  jald se jald faarig ho jata hai, ye Amal Adab ke khilaaf hai, Namaazi ko Khalal pahochana hai lihaaza dur baith kar intizaar karna chahiye taake Namaazi ko Khalal na pahoche.   •Nukta• Kal Hazrat Mufti Asif Laajpuri sb db ne Aaj Ka Sabaq NO. MAL-AKS-33 mein bataya tha ke Jab Raastey mein Takleef Deney wali cheez ko Hataana IMAAN ka Sho'bah hai toa Raastey me...

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-33 | Huquq ul Ibaad - 21

Aaj ka Sabaq No.33 Huquq ul Ibaad 21 Download Audio Huquq ul Ibaad - 21 Raastey se Gandagi aur Takleef deneywali Cheez ko dur karna bhi Imaan ka Sho'bah hai !! mafhum e Hadsees ke mutabiq RasulALLAH  صلی اللہ علیہ وسلم  ka Farmaan hai ke : maan ke 70 se ziyaadaah Sho'beh (division) hai jisme se Sabse A'ala Sho'bah  Kalimah e Tayyabaah Laa ilaah il-lal-LLAAH MuhammadurRasulALLAH    صلی اللہ علیہ وسلم kahna hai aur adna tareen Imaan ka Sho'bah Raastey se Gandagi aur Takleef deneywali Cheez ko dur karna hai !! • Dauraan e Safar Qudrati haajat ke liye logon ko takleef Naa pahochey aisee munaasib jagah ki talaash uutni hi justaju se RasulALLAH  صلی اللہ علیہ وسلم   karte thay Jitni Justaju uus daur ke log Makaan banane ke liye karte thay !! • Raastey par Kachraa daalna ya Kaanta, Chheelka ya aisee koi bhi cheez phekna jo kisi ka Pair phisal ne ka ya logon ko koi bhi qism ki Takleef pahochneka ya Gandagi ka Sabab h...