Skip to main content

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-45 | Huquq ul Ibaad - 33


Aaj ka Sabaq no 45
Huquq ul Ibaad no 33





Huquq ul Ibaad - 33
Hamesha Khush Haal Rahne ka Nuskhaah

Kal Aaj ka Sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laajpuri sb db ne Sabaq diya tha ke koi bhi hum se Husn e Suluk karey ya BadSuluki karey, Humey toa har haal mein Logon se Husn e Suluk karna chahiye aur koi humarey Kaam aaye ya Naa aaye Humey har haal mein Logon ke Kaam karne hai aur  Humey aisa Mind-Set karna hai aur koi Humarey Husn e Suluk ki Tareef-Shukr-Thanks-Badla de ya Naa de humey toa Khaalees Rizaa e Elaahi ki khaatir logon ko bhalai pahochani hai...
Hakim ul Uummat- Mujaddeed e Millat Hazrat Mavlana Shah AshrafAlee Thanvee rh ne Ek Buzurg se uunka Haal Puchha tao Jawaab mila "alhumduLILLAH, Dunya ka har kaam Meri marzi ke mutabiq chal raha hai" !!!
jab es baat ka Raaz puchha gaya toa Buzurg ne bataya ke Dunya ka Har Kaam ALLAH ki marzi ke mutabiq chal raha hai aur maine meri Marzi ALLAH ki Marzi ke mutabiq kar di hai isliye mujhe kisi se koi bhi qism ki shiqaayat nahin rahti kyuke har kaam meri marzi ke mutabiq chal raha hai !! 

Nukta
Jo Insaan dusro ko Khush karta hai ALLAH bhi uusey Khush karte hai, Jo dusro ke Kaam aata hai ALLAH bhi uuski Madad karta hai yaani Zindagi Sukuun se bitaney ka aur Hamesha Khush Haal rahne ka ye hi Nuskhaah hai !!
-----------------------------------

RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..

Comments

Popular posts from this blog

Hazrat Mufti Asif Lajpuri Saahib دامتبرکاتkaa SpeciaL Aaj Ka Sabaq SAT 3 January '26 se shuru Ayyaam e Beez ke3️⃣Rozeh (3-4-5 January '2026 ko) Rakhkar Ek Gaayab-Lupt-Vanished-Disappeared Sunnat ko Zindaah karke 1️⃣0️⃣0️⃣ Shaheedo kaa Sawaab haasiL kijiye...

Download  Audio SPECIAL AAJ KA SABAQ by HAZRAT MUFTI ASIF LAJPURI sb db Maah e Jamaadil Aakhir 1448 Ayyaam e Beez ke 3 Sunnat Rozeh Baroz Sanichar-EeetWaar-PiR 3-4-5 JAN . '2026   ko Ayyaam e Beez ke 3 SunnatRozeh hein, Jismein PiR kaa SunnatRozah bhee ShaameeĹ hein. * Nasaaee Shareef kee Hadees No. 2410 ke Mutabiq Har Mahiney Teen Rozeh rakhna Umar par Rozaah Rakhney Jaisaa hai !! * Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh  ki Kitaab  Beheshti Zevar Safha Number 137 ke mutabiq ye Teen Rozho ka Sawaab Ek Saal ke Rozeh ke Barabur hai !! https://www.aajkasabaq.com/2019/06/no_0.html?m=1 Aaj ka Sabaq aajkasabaq.com

Hazrat Mufti Asif Lajpuri Saahib دامتبرکاتChaandRaat ki SunnatDuA | SUN. 21 DECEMBER 2025 ko ChaandRaat hein. www.aajkasabaq.com

Download  Audio ChaandRaat kee SunnatDuAa by Hazrat Mufti Asif Lajpuri Saahibدامتبرکات kaa SpeciaL Aaj ka Sabaq ChaandRaat ki SunnatDuAa Maah e Rajab uL MuRajjab  kee CHAANDRAAT SUNDAY 21 DECEMBER ko in sha ALLAH hai, Magrib se Pehle ya Baad Chaand Dekhkar (ya bila dekhey) ye Nabwee DuAaee Padh lijiye : (Chaand dekhna mumkin Naa ho toa bila Chaand dekhe bhi DuAaee padhna durust hai) اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ عَلَيْنَا بِالْأَمْنِ وَالْإِيْمَانِ وَالسَّلَامَةِ وَالْإِسْلَامِ رَبِّي وَرَبُّكَ اللَّهُ هِلَالُ رُشْدٍ وَخَيْرٍ. ALLAHumma Ahillahu Alayna bil Amni wal Imaani WasSalaamati wal Islaami Rabbi wa Rabbu-KALLAHu Hilaa-lu Rushdiw wa Khayrin. અલ્લાહુમ્મ અહિલ્લહુ અલયના બિલ અમ્ની વલ ઇમાની વસ્સલામતી વલ ઇસ્લામી રબ્બિ વ રબ્બુકલ્લાહ હિલા-લુ રુશદિવ્વ ખયરિન. अल्लाहुम्म अहिल्लहु अलयना बिल् अम्नी वल इमानी वस्सलामति वल इस्लामि रब्बि व रब्बुकल्लाह हिला-लु रुशदिव्व खयरिन । Tarjamaa yaa ALLAH..ees Chaand ko humpar Amno-Amaan, Salaamati aur Islaam ke saath Tulu farmaa. aye Chaand...Tera aur Mer...

Aaj ka Sabaq How to Search Aaj ka Sabq ? | Talaash kaise karey?

Search karneka Aasaan Tareeqaah sirf number daalkar search karne se bahoot saare dusre posts bhee search result mein aayenge jaise aaj ka sabaq no. 1 chaahiye toah agar sirf 1 search karenge toah aaj kao sabaq 1 ke saath saath 11, 111 aur sirf aaj ka sabaq hi naheen aaj ka dars e quraan ke bhee 1, 11 wagairaah aa jaayengaa eesliye subject aur number daaliye jaise ● aaj kaa dars e quraan 1, 2, 3....1111 ya sirf quraan 1, 2....1111 ● huquq ul ibaad  1 2 3.....500 yaa sirf Rights 1, 2 ....500 ● MaaBaap-1, 2, 100 ● jhuth 1, 2, 3 ...100 ● s akhawat 1, 2, ....200 ● fazail e duruud 1 2 3.....500 ● hayaatuusSahaabaah 1 2 3....1100 ● sirat un nabi 1 2 3....1100 ● sirat e ambiyaa 1 2 3...1111 ● valentine day ● 31st dec. aur 1st jan ki raat ka night ka... ● april fool ● Rama'Zaan ul Mubaarak ke Fazail aur Masail 1, 2 , ...30 ●  Miraas ko Taqseem karna 1, 2, ....100 ● Note 1 2 3 ● Bumper Offer zil hijja ke 9 rozeh ● 1 2 3 talaaq ● radd e shakeel ● dajjaal ● mazaaq ● Aaj hee Apney Maa...