Search karneka Aasaan Tareeqaah sirf number daalkar search karne se bahoot saare dusre posts bhee search result mein aayenge jaise aaj ka sabaq no. 1 chaahiye toah agar sirf 1 search karenge toah aaj kao sabaq 1 ke saath saath 11, 111 aur sirf aaj ka sabaq hi naheen aaj ka dars e quraan ke bhee 1, 11 wagairaah aa jaayengaa eesliye subject aur number daaliye jaise ● aaj kaa dars e quraan 1, 2, 3....1111 ya sirf quraan 1, 2....1111 ● huquq ul ibaad 1 2 3.....500 yaa sirf Rights 1, 2 ....500 ● MaaBaap-1, 2, 100 ● jhuth 1, 2, 3 ...100 ● s akhawat 1, 2, ....200 ● fazail e duruud 1 2 3.....500 ● hayaatuusSahaabaah 1 2 3....1100 ● sirat un nabi 1 2 3....1100 ● sirat e ambiyaa 1 2 3...1111 ● valentine day ● 31st dec. aur 1st jan ki raat ka night ka... ● april fool ● Rama'Zaan ul Mubaarak ke Fazail aur Masail 1, 2 , ...30 ● Miraas ko Taqseem karna 1, 2, ....100 ● Note 1 2 3 ● Bumper Offer zil hijja ke 9 rozeh ● 1 2 3 talaaq ● radd e shakeel ● dajjaal ● mazaaq ● Aaj hee Apney Maa...
No.1 Website for Aaj ka Sabaq | Aaj ka Sabaq No. 664_MAL |
Fazail e Duruud | Hissa/Part -34
Real Estate
EXCLUSIVE BENEFIT !!
JumAa ke Din Asar aur Maghrib ke darmiyaan
ye Duruud Shareef 1000 Martaba Padhiye,
in sha ALLAH khudka
Wasi aur Shaandaar Ghar Naseeb honga :
ALLAHumma Salli Alaa Muhammadinin-Nabiyyil Ummiyyi wa a’laa aalihi wa sallim.
(baaHawaala - ZareeAt ul Vus ul Ilaa JanaabirRasul-148)
1) 80 saal ke Gunaah MuAaf hone ki Fazilat wala jo Duruud Shareef JumAa ke Din Asar ke Baad Padhaa jaataa hai uus Duruud aur is Duruud mein sirf 'Tasleema' lafz ka hi Farq hai yaani is Duruud ki Aakhir mein 'Tasleema' lafz Nahin hai.
2) Bagair Tasleema wala ye Duruud 'ZareeAt ul Vus ul
Ilaa JanaabirRasul' naam ki Kitaab mein hai, Hadees mein NAHIN hai.
3) Khudke Wasi aur Shaandaar Ghar Naseeb hone ki Fazilat 'ZareeAt ul Vus ul
Ilaa JanaabirRasul' naam ki Kitaab mein hai, Hadees mein NAHIN hai.
4) ye Parchaa tayyaar karaaney waley ne kiraaye ke Ghar mein rahney waley kuchh logon ko ye wazeefa padhne ki tashkeel ki thee aur bifazlihitAala aaj wo kiraaye ke makaan se bari ho gaye hai.

Comments
Post a Comment