Search karneka Aasaan Tareeqaah sirf number daalkar search karne se bahoot saare dusre posts bhee search result mein aayenge jaise aaj ka sabaq no. 1 chaahiye toah agar sirf 1 search karenge toah aaj kao sabaq 1 ke saath saath 11, 111 aur sirf aaj ka sabaq hi naheen aaj ka dars e quraan ke bhee 1, 11 wagairaah aa jaayengaa eesliye subject aur number daaliye jaise ● aaj kaa dars e quraan 1, 2, 3....1111 ya sirf quraan 1, 2....1111 ● huquq ul ibaad 1 2 3.....500 yaa sirf Rights 1, 2 ....500 ● MaaBaap-1, 2, 100 ● jhuth 1, 2, 3 ...100 ● s akhawat 1, 2, ....200 ● fazail e duruud 1 2 3.....500 ● hayaatuusSahaabaah 1 2 3....1100 ● sirat un nabi 1 2 3....1100 ● sirat e ambiyaa 1 2 3...1111 ● valentine day ● 31st dec. aur 1st jan ki raat ka night ka... ● april fool ● Rama'Zaan ul Mubaarak ke Fazail aur Masail 1, 2 , ...30 ● Miraas ko Taqseem karna 1, 2, ....100 ● Note 1 2 3 ● Bumper Offer zil hijja ke 9 rozeh ● 1 2 3 talaaq ● radd e shakeel ● dajjaal ● mazaaq ● Aaj hee Apney Maa...
No.1 Website for Aaj ka Sabaq | Aaj ka Sabaq No. 667_MAL |
Fazail e Duruud | Hissa/Part -37
Mayyat ka Kaala Chehraa
Nuuraanee ho Gaya...
Ahyaa ul Uuloom mein Hazrat Imam Gizalee rh Hazrat Abd ul Waaheed Ibn e Zaid Basree rh se Naqal kartey hai ke Safar e Haj mein Ek Shaks Mera Rafiq e Safar ho gaya jo RasuluLLAH صلی اللہ علیہ وسلم par Kasrat se Duruud bhejta tha...Kasrat e Duruud ka Sabab Puchhney par uusney Bataya :
Merey Waaleed Muhataram ke Saath Mai Safar e Haj se Laut raha tha..Ek Manzil par Hum dono Soye hue they..Khwaab mein Mujh se koi kah raha hai ke Uuth...Terey waaleed Sahib ka Inteqaal ho gaya hai aur uunka Chehra Kaala ho gaya hai...Uuth kar Pata kiya toa Khwaab kee Baat Sach Saabit hue...Maine Favran Duruud Padha...Thakaan, Gham aur Ghabharaat kee wajeh se Meree Aankh lag gayee toa dobaaraa Khwaab mein Dekhaa ke Chaar Kaaley Habshee Lohey ke Badey Dande liye Waaleed Sahib kee Mayyat ke Paas Musallat hai...etney mein KhubSurat aur Nuuraanee Chehrey wale Buzurg Tashreef laaye aur uunhoney ye Habsheeyon ko hata diya aur Apna Daat e Mubaarak Merey waaleed Sahib ke Chehrey par Phera aur Mujh se kaha Uuth...ALLAH ne Tere Baap ke Chehrey ko Sufed kar diyaa...Maine Puchha Aap Kaun hai toa uunhone Kaha Mai Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم hu...!!
Nukta...Point...
Jab RasuluLLAH صلی اللہ علیہ وسلم par Duruud bhejney kee Barkat se Mayyat ka Kaalaa Chehraa favran Sufed aur Nuuraanee ho sakta hai toa RasuluLLAH صلی اللہ علیہ وسلم par Kasrat se Duruud bhejney kee Barkat se Zindagee aur Aakheerat kitnee Nuuraanee Ban saktee hai !!

Comments
Post a Comment