Skip to main content

Aaj ka Sabaq How to Search Aaj ka Sabq ? | Talaash kaise karey?

Search karneka Aasaan Tareeqaah sirf number daalkar search karne se bahoot saare dusre posts bhee search result mein aayenge jaise aaj ka sabaq no. 1 chaahiye toah agar sirf 1 search karenge toah aaj kao sabaq 1 ke saath saath 11, 111 aur sirf aaj ka sabaq hi naheen aaj ka dars e quraan ke bhee 1, 11 wagairaah aa jaayengaa eesliye subject aur number daaliye jaise ● aaj kaa dars e quraan 1, 2, 3....1111 ya sirf quraan 1, 2....1111 ● huquq ul ibaad  1 2 3.....500 yaa sirf Rights 1, 2 ....500 ● MaaBaap-1, 2, 100 ● jhuth 1, 2, 3 ...100 ● s akhawat 1, 2, ....200 ● fazail e duruud 1 2 3.....500 ● hayaatuusSahaabaah 1 2 3....1100 ● sirat un nabi 1 2 3....1100 ● sirat e ambiyaa 1 2 3...1111 ● valentine day ● 31st dec. aur 1st jan ki raat ka night ka... ● april fool ● Rama'Zaan ul Mubaarak ke Fazail aur Masail 1, 2 , ...30 ●  Miraas ko Taqseem karna 1, 2, ....100 ● Note 1 2 3 ● Bumper Offer zil hijja ke 9 rozeh ● 1 2 3 talaaq ● radd e shakeel ● dajjaal ● mazaaq ● Aaj hee Apney Maa...

Aaj ka Sabaq

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | Aaj ka Sabaq No. 479_MAL |  Huquq ul Ibaad/Human Rights - 468




AAJ KA SABAQ by HAZRAT MUFTI ASIF LAAJPURI sb db



NazarAndaaz-Ignore Naheen Karna !!

NazarAndaaz-Ignore
Naheen Karna !!
Aaj Ka Sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laajpuri sb db ne Gujishta Aaj ka Sabaq No. 478 aur 479 ye bataayaa tha ke Janaazey ke Saath Chalney wale ko Ek Badey Pahaad ke Barabur Sawaab hai aur Waqt e Dafan mein Shareek rahney wale ko Do Badey Pahaad ke Barabur Sawaab hai kyuke Janaaze kee Shirkat aur Taazeeyat bhee huquq ul Ibaad kee Adaaygee hai.... Masleh : 1) Janaaze ke Saath Chaltey hue Kalma e Shahaadat ka Ailaan karna aur Baland aawaaz mein Kalmaa Padhna Naa Sunnat hai aur Naa hee Sahaba rizwn. aur Aslaaf se Saabit hai !! 2) MaaBaheno ko Janaaze ke Saath Shareek hone kee aur Waqt e Dafan Shareek rahne kee Ijaazat Naheen hai albatta MaaBaheno ko Pardeh ka Ahtamaam kartey hue Marney wale ke Ghar par jaakar TaazeeyAt karney par Bada sawaab hai !! 3) bilaa Majburee-Zarurat ke Janaazey ke aage aage Chalna Khilaaf e Adab hai !! 4) Janaazey ko Kandha deney ke Sawaab ko haasil karney mein ye bhee Khayaal rakhna chaahiye ke Janaazey mein Shareek dusrey logon ko Dhakka Denaa Durast Naheen....Kisee ko bhee Adna Takleef deney se Apney aap ko Bachaana bhee Huquq ul Ibaad kee Adaaygee hai !! 5) Janaazey mein Khaamooshee Ikhteeyaar karna zaruuree hai !! 6) Jab tak Qabrastaan mein Janazaa Nichey Naa rakha jaaye tab tak Tandurast Aadmee Naa Baithey !! (Zaeeef/kamzoor/bimaar/maazur ko ijaazat hai)

Aage Padhiye.....
Mafhum e Hadees :
RasuLULLAAH  صلی اللہ علیہ وسلم ne Humey 7 Baaton ka Hukm diyaa :
1) Mareez kee Eyaadat karnaa... 2) Janaaze ke Pichhey Chalnaa...3) Chheenk (Sneez) ne ke Baad alhumduLILLAH kahne waalon ko yarhakumuLLAH jawaab mein kahnaa...4) Kamzoor kee Madad karnaa...5) Mazlum kee Imdaad karnaa...6) Salaam ko Riwaaj denaa...7) Kasam Khaaney waaley kee Kasam puraa karney mein Madad karnaa...(Bukhaaree Shareef)
Pehley 2 Ahkaam kee Tashreeh Pichhley aSbaaq mein bataayee gayee thee...

Tashreeh :
RasuLULLAAH صلی اللہ علیہ وسلم ka Tisra Hukm Chheenk (Sneez) ne ke Baad alhumduLILLAH kahne waalon ko yarhakumuLLAH jawaab mein kahnaa...Cheenk kee wajeh se Mavt aaney ka Andesha hota hai magar Cheenknewale ko Mavt Naheen aayee esliye uusney alhumduLILLAH kaha toa uuska Jawaab yarhakumuLLAH se dena Zaruree hai....Es Hukm se humey ye Nasihat milti hai ke humey Dusron kee Musibat Talney par raazee hona Chaahiye...Dusron ke liye Khair Chaahna bhee Huquq ul Ibaad kee A'alaa Adaaygee hai !! 

Soohaa Kabhee ??
Cheenk jaisee Maamulee baat bhee NazarAndaaz (Ignore) Naheen karna mana hai toa Socho Ham Huquq ul Ibaad kee Adaaygee kaisey nazarAndaaz kar saktey hai !!

----------------------------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..

Comments

Popular posts from this blog

ChaandRaat kee SunnatDuAa Padh lijiye MangaĹ 16 June '26 ChaandRaat ki SunnatDuAa Padh lijiye Aaj Ka Sabaq Hazrat Mufti Asif Lajpuri Saahibدامت برکاتہم العالیہka Aaj Ka Sabaqआज क़ा सबक़آج کا سبق Aaj ka Sabaq https://www.aajkasabaq.com World No.1 Website for World No. 1 Aaj ka Sabaq Aaj Ka Dars e QurAan Aaj ka Wazeefa SpeciaL Aaj ka Sabaq by Hazrat Mufti Asif Lajpuri Saahib DB. Mail your Mobile Number to aajkasabaq.com@gmail.com or WhatsApp your Mobile Number to +918689845277 to Join Aaj ka Sabaq WhatsApp Group/BroadCast List.

Download  Audio SPECIAL AAJ KA SABAQ by HAZRAT MUFTI ASIF LAJPURI sb db Maah e Safar uuL MuzafFar  1449 ChaandRaat kee SunnatDuAa Baroz Budh-WednesDay 15 JULY 2026 ko Chaand Dekhkar yaa Chaand Nazar asne kaa Ailaan hotey hee ChaandRaat ke ye SunnayDuAa padhkar 100 Shaheedo kaa Sawaab haaseeL kijiye. اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ عَلَيْنَا بِالْأَمْنِ وَالْإِيْمَانِ وَالسَّلَامَةِ وَالْإِسْلَامِ رَبِّي وَرَبُّكَ اللَّهُ هِلَالُ رُشْدٍ وَخَيْرٍ. ALLAHumma Ahillahu Alayna bil Amni wal Imaani WasSalaamati wal Islaami Rabbi wa Rabbu-KALLAHu Hilaa-lu Rushdiw wa Khayrin. અલ્લાહુમ્મ અહિલ્લહુ અલયના બિલ અમ્ની વલ ઇમાની વસ્સલામતી વલ ઇસ્લામી રબ્બિ વ રબ્બુકલ્લાહ હિલા-લુ રુશદિવ્વ ખયરિન. अल्लाहुम्म अहिल्लहु अलयना बिल् अम्नी वल इमानी वस्सलामति वल इस्लामि रब्बि व रब्बुकल्लाह हिला-लु रुशदिव्व खयरिन । Tarjamaa yaa ALLAH..ees Chaand ko humpar Amno-Amaan, Salaamati aur Islaam ke saath Tulu farmaa. aye Chaand...Tera aur Mera Rabb ek hi hai. aye ALLAH...(humarey liye) ye Hidaayat aur bhalaai wala Chaand ho. ...

Hazrat Mufti Asif Lajpuri Saahib دامتبرکاتkaa SpeciaL Aaj Ka Sabaq Mon 29 June '2026 se shuru Ayyaam e Beez ke3️⃣Rozeh (29-30 June '2026 -1 July '2026 ko) Rakhkar Ek Gaayab-Lupt-Vanished-Disappeared Sunnat ko Zindaah karke 1️⃣0️⃣0️⃣ Shaheedo kaa Sawaab haasiL kijiye...

a Download  Audio SPECIAL AAJ KA SABAQ by HAZRAT MUFTI ASIF LAJPURI sb db Maah e MuharRam uuL Haraam  1449 Ayyaam e Beez ke 3 Sunnat Rozeh Baroz MON.-TUE.-WED. 29-30 JUNE  '2026  aur 1 July '2026 ko Ayyaam e Beez ke 3 SunnatRozeh hein jismein PiR Momday kaa SunnatRozah bhee ShaamiL hein. * Nasaaee Shareef kee Hadees No. 2410 ke Mutabiq Har Mahiney Teen Rozeh rakhna Umar par Rozaah Rakhney Jaisaa hai !! * Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh  ki Kitaab  Beheshti Zevar Safha Number 137 ke mutabiq ye Teen Rozho ka Sawaab Ek Saal ke Rozeh ke Barabur hai !! https://www.aajkasabaq.com/2019/06/no_0.html?m=1 Aaj ka Sabaq aajkasabaq.com

Aaj ka Sabaq How to Search Aaj ka Sabq ? | Talaash kaise karey?

Search karneka Aasaan Tareeqaah sirf number daalkar search karne se bahoot saare dusre posts bhee search result mein aayenge jaise aaj ka sabaq no. 1 chaahiye toah agar sirf 1 search karenge toah aaj kao sabaq 1 ke saath saath 11, 111 aur sirf aaj ka sabaq hi naheen aaj ka dars e quraan ke bhee 1, 11 wagairaah aa jaayengaa eesliye subject aur number daaliye jaise ● aaj kaa dars e quraan 1, 2, 3....1111 ya sirf quraan 1, 2....1111 ● huquq ul ibaad  1 2 3.....500 yaa sirf Rights 1, 2 ....500 ● MaaBaap-1, 2, 100 ● jhuth 1, 2, 3 ...100 ● s akhawat 1, 2, ....200 ● fazail e duruud 1 2 3.....500 ● hayaatuusSahaabaah 1 2 3....1100 ● sirat un nabi 1 2 3....1100 ● sirat e ambiyaa 1 2 3...1111 ● valentine day ● 31st dec. aur 1st jan ki raat ka night ka... ● april fool ● Rama'Zaan ul Mubaarak ke Fazail aur Masail 1, 2 , ...30 ●  Miraas ko Taqseem karna 1, 2, ....100 ● Note 1 2 3 ● Bumper Offer zil hijja ke 9 rozeh ● 1 2 3 talaaq ● radd e shakeel ● dajjaal ● mazaaq ● Aaj hee Apney Maa...