Search karneka Aasaan Tareeqaah sirf number daalkar search karne se bahoot saare dusre posts bhee search result mein aayenge jaise aaj ka sabaq no. 1 chaahiye toah agar sirf 1 search karenge toah aaj kao sabaq 1 ke saath saath 11, 111 aur sirf aaj ka sabaq hi naheen aaj ka dars e quraan ke bhee 1, 11 wagairaah aa jaayengaa eesliye subject aur number daaliye jaise ● aaj kaa dars e quraan 1, 2, 3....1111 ya sirf quraan 1, 2....1111 ● huquq ul ibaad 1 2 3.....500 yaa sirf Rights 1, 2 ....500 ● MaaBaap-1, 2, 100 ● jhuth 1, 2, 3 ...100 ● s akhawat 1, 2, ....200 ● fazail e duruud 1 2 3.....500 ● hayaatuusSahaabaah 1 2 3....1100 ● sirat un nabi 1 2 3....1100 ● sirat e ambiyaa 1 2 3...1111 ● valentine day ● 31st dec. aur 1st jan ki raat ka night ka... ● april fool ● Rama'Zaan ul Mubaarak ke Fazail aur Masail 1, 2 , ...30 ● Miraas ko Taqseem karna 1, 2, ....100 ● Note 1 2 3 ● Bumper Offer zil hijja ke 9 rozeh ● 1 2 3 talaaq ● radd e shakeel ● dajjaal ● mazaaq ● Aaj hee Apney Maa...
No.1 Website for Aaj ka Sabaq | Aaj ka Sabaq No. 449_MAL | Huquq ul Ibaad/Human Rights - 438
AAJ KA SABAQ by HAZRAT MUFTI ASIF LAAJPURI sb db
Zubaan kee Hifaazat - 01
Huquq ul Ibaad kee KhilaafWarzee mein Bahoot Badaa Hissaa Zubaan ka bhee hai !!
Mafhum e Hadees :
Ek Insaan (Jaanbujkar/intentionally ya Ghafalat/carelessly mein) Sochey Samje bagair koi Baat/Jumlaa kah detaa hai toa wo Baat/Jumlaa uus Shakhs ko Dozakh ke Andar Etnee Ghahraaeee tak Giraa detaa hai jitnaa Maghreeb (west) aur Mashreeq (east) ke darmiyaan Faaslaah hai !!
(Bukhaaree Shareef/Raavee Hazrat abu Hurairaah razi.)
Tashreeh :
Insaan jitney Gunaah kartaa hai uusmein 50 % se Ziyaadaah Hissaa Zubaan ka hai esliye
Huquq ul Ibaad kee khilaafWarzee mein bhee Zubaan ka Bahoot badaa Hissaa hai !!
Soochaa kabhee ??
Zubaan se Sabse Ziyaadaah Gunaah jhuth bolkar kiyaa jaataa hai....Jhuth Bolneywale par ALLAH kee Laanat barastee hai....Aaj ke Daur mein 100 % Sach sirf 1 % log hee boltey hai...Matlab 99% Logon par Rozaanaa ALLAH kee Laanat Barastee hai Naa ??
----------------------------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..

Comments
Post a Comment