No.1 Website for Aaj ka Sabaq | Aaj ka Sabaq No. 434_MAL | Huquq ul Ibaad/Human Rights - 423
AAJ KA SABAQ by HAZRAT MUFTI ASIF LAAJPURI sb db
Humaaree Raai, Mashwaraah, Sifaarish, Darkhwaast
Qubuul Naa hone par Adnaa Darje kee
NaaRaazgee bhee Zaaheer Naheen karna Aham Sunnat aur
Huquq ul Ibaad kee Uumdaah Adaaygee hai !!
Aaj Ka Sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laajpuri sb db ne Gujishtaa kal ye bataya tha ke RasuluLLAAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Ek Sahaabeeyaa razi. ko uunkey Maazee Shohar (exHusband) se dobaaraa Nikaah (remarriage) kee Sifaarish kee tab Sahaabeeyaa razi. ne Puchha ke ye Aap ka Hukm hai yaa Mashwaraah?? agar Hukm hai toa Mai Maazee Shohar (exHusband) se Dobaaraa Nikaah ke liye Raazee hu...espar RasuluLLAAH صلی اللہ علیہ وسلم ne jawaab mein Farmaaya ke ye Hukm Naheen hai, Mashwaraah hai....!! Sahaabeeyaa razi. ne RasuluLLAAH صلی اللہ علیہ وسلم ka Mashwaraah Qubul Naheen kiya aur dobaaraa Apney Maazee Shohar (exHusband) se dobaaraa Nikaah naheen kiya lekin RasuluLLAAH صلی اللہ علیہ وسلم ne espar Adna Darje Naraazgee Zaaheer Naheen kee !!
Aage Padhiye.....
Es Nabwee Qissey se humey ye Uumdaah aur Daaymee Sabaq milta hai ke Humaaree Raai, Mashwaraah, Sifaarish, Darkhwaast Qubuul Naa hone par humey Adnaa Darje kee NaaRaazgee bhee Zaaheer Naheen karna Aham Sunnat aur Huquq ul Ibaad kee Uumdaah Adaaygee hai !!
Nukta....Point....
Kisee kee bhee Raai, Mashwaraah, Sifaarish, Darkhwaast par Tawajjeh dena aur Mumkeen ho toa uusey Qubuul karney se Do Insaano ko Khushee hotee hai aur Jaiz baaton mein ALLAH ke Bando ko Khush karna ALLAH ko Khush karney ke Barabur hai aur Huquq ul Ibaad kee Uumdaah Adaaygee bhee hai !!
----------------------------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
Comments
Post a Comment