Skip to main content

Aaj ka Sabaq How to Search Aaj ka Sabq ? | Talaash kaise karey?

Search karneka Aasaan Tareeqaah sirf number daalkar search karne se bahoot saare dusre posts bhee search result mein aayenge jaise aaj ka sabaq no. 1 chaahiye toah agar sirf 1 search karenge toah aaj kao sabaq 1 ke saath saath 11, 111 aur sirf aaj ka sabaq hi naheen aaj ka dars e quraan ke bhee 1, 11 wagairaah aa jaayengaa eesliye subject aur number daaliye jaise ● aaj kaa dars e quraan 1, 2, 3....1111 ya sirf quraan 1, 2....1111 ● huquq ul ibaad  1 2 3.....500 yaa sirf Rights 1, 2 ....500 ● MaaBaap-1, 2, 100 ● jhuth 1, 2, 3 ...100 ● s akhawat 1, 2, ....200 ● fazail e duruud 1 2 3.....500 ● hayaatuusSahaabaah 1 2 3....1100 ● sirat un nabi 1 2 3....1100 ● sirat e ambiyaa 1 2 3...1111 ● valentine day ● 31st dec. aur 1st jan ki raat ka night ka... ● april fool ● Rama'Zaan ul Mubaarak ke Fazail aur Masail 1, 2 , ...30 ●  Miraas ko Taqseem karna 1, 2, ....100 ● Note 1 2 3 ● Bumper Offer zil hijja ke 9 rozeh ● 1 2 3 talaaq ● radd e shakeel ● dajjaal ● mazaaq ● Aaj hee Apney Maa...

Aaj ka Sabaq

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | Aaj ka Sabaq No. 245_MAL |  Huquq ul Ibaad/Human Rights - 234



AAJ KA SABAQ by HAZRAT MUFTI ASIF LAAJPURI sb db


Murdo kee Gheebat karna Double Haraam hai kyuke
ho sakta hai Mavt se Pehle ALLAH ne Uuskee Maghfirat kar dee ho !!
Murdo kee Gheebat se Bachna bhee
Aham Sunnat hai aur Huquq ul Ibaad kee Adaaygee bhee hai !!


Gujishta kal ke Aaj Ka Sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne ye 2  aHaadees aur uuskee Tashreeh bayaan kee thee :  Mafhum e Hadees : (1) Jin Logon ka Intiqaal ho chuka hai uunko Bura mat kaho esliye ke Murdo ko Bura Kahney se (uunke Rishtedaar aur Chaahneywalon) Zindaah Logon ko Takleef hongee !! (Hazrat Mugeeraah Ibn e Shooba Razi., Tirmeezee Shareef, Kitaab ul Birr, Baab ul Maazaa AfeeshSheetam)  (2) Apney Murdo kee Achchhaaeeyaa Zik'r karo aur uunkee Buraaeeyaa Zik'r karney se Baaz raho !! (Hazrat abduLLAAH Ibn e Umar Razi., AbuDaawuud Shareef, Kitaab ul Adab, Baab un FeenNahee An Sab bil Mavta) Tashreeh : Dono aHaadees ka Mazmuun Ek jaisa hai...Jis tarah Zindaah Insaan kee bhee Buraaee-Gheebat karna mana hai esee tarah Murdaa Insaan kee Buraaee-Gheebat mana hai kyuke Zindaah Insaan kee Gheebat toa Haraam hai hee lekin Murdaa Insaan kee Gheebat Double Haraam hai kyuke : (a) Zindaah Insaan kee Gheebat karney ke Baad uussey MuAafee Maanga Mumkeen hai, Murdey se Muaafee Maangna Mumkeen Naheen....(b) Zindaah Insaan kee koi Buraaee se kisee Insaan ko Kam Lafz mein Aagaah karna Jaiz hai lekin Murdey se kisee ko Nuqsaan hone ka Andesha Naheen hota esliye Murdey kee koi bhee Buree Baat koi bhee Qeemat par Logon mein karna Jaiz Naheen hai...Double Haraam hai...(c) Mumkin hai ke Murdey ke Saarey Gunaah ALLAH ne MuAaf kar diye ho aur Hum uuskee Buraaee karey yaanee Hum ALLAH ke Faisaleh par Aetraaz karey ye kaha tak Munaaseeb hai ??

Aage Padhiye
(d) Aur Ek Mafhum e Hadees ke Mutabiq Murdey Insaan ke Zindaah Chaahney walo aur Rishtedaaro ko Murdey ke Gheebat se Takleef hongee !! 

(d) Murdey ne koi Gumraah baat Logon mein Kahee, Likhee ya MashHooor kee thee toa uuskee Jhuthee Baat/Tareeqeh/Nazariye/Concept ko Logon ko batlana aur uussey Logon ko Aagaah karna Jaiz hai lekin sirf uuske Jhuth/Tareeqeh/Nazariye/Concept ko hee bayaan kar saktey hai, uuske Dusrey Zaatee Gunaah/Buraaee ka Zik'r Naa karey !!

Zindaah Laash

Zindooh kee Gheebat karna, Zindooh kee AabruRahzee karna, Zindooh ke Aeb Zaaheer karna uus Zindeh ko JiteyJee Murda bana deney ke Barabur hai, Bechaara kisee ko Muh dekhaane ke laayak Naheen rahta !!

Nukta...Point...
100 % Sachchee Gheebat koi karta hee Naheen, uusmein Jhuth milakar uus Gheebat ko Bohtaan bana hee deta hai !!
----------------------------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..

Comments

Popular posts from this blog

ChaandRaat kee SunnatDuAa Padh lijiye MangaĹ 16 June '26 ChaandRaat ki SunnatDuAa Padh lijiye Aaj Ka Sabaq Hazrat Mufti Asif Lajpuri Saahibدامت برکاتہم العالیہka Aaj Ka Sabaqआज क़ा सबक़آج کا سبق Aaj ka Sabaq https://www.aajkasabaq.com World No.1 Website for World No. 1 Aaj ka Sabaq Aaj Ka Dars e QurAan Aaj ka Wazeefa SpeciaL Aaj ka Sabaq by Hazrat Mufti Asif Lajpuri Saahib DB. Mail your Mobile Number to aajkasabaq.com@gmail.com or WhatsApp your Mobile Number to +918689845277 to Join Aaj ka Sabaq WhatsApp Group/BroadCast List.

Download  Audio SPECIAL AAJ KA SABAQ by HAZRAT MUFTI ASIF LAJPURI sb db Maah e Safar uuL MuzafFar  1449 ChaandRaat kee SunnatDuAa Baroz Budh-WednesDay 15 JULY 2026 ko Chaand Dekhkar yaa Chaand Nazar asne kaa Ailaan hotey hee ChaandRaat ke ye SunnayDuAa padhkar 100 Shaheedo kaa Sawaab haaseeL kijiye. اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ عَلَيْنَا بِالْأَمْنِ وَالْإِيْمَانِ وَالسَّلَامَةِ وَالْإِسْلَامِ رَبِّي وَرَبُّكَ اللَّهُ هِلَالُ رُشْدٍ وَخَيْرٍ. ALLAHumma Ahillahu Alayna bil Amni wal Imaani WasSalaamati wal Islaami Rabbi wa Rabbu-KALLAHu Hilaa-lu Rushdiw wa Khayrin. અલ્લાહુમ્મ અહિલ્લહુ અલયના બિલ અમ્ની વલ ઇમાની વસ્સલામતી વલ ઇસ્લામી રબ્બિ વ રબ્બુકલ્લાહ હિલા-લુ રુશદિવ્વ ખયરિન. अल्लाहुम्म अहिल्लहु अलयना बिल् अम्नी वल इमानी वस्सलामति वल इस्लामि रब्बि व रब्बुकल्लाह हिला-लु रुशदिव्व खयरिन । Tarjamaa yaa ALLAH..ees Chaand ko humpar Amno-Amaan, Salaamati aur Islaam ke saath Tulu farmaa. aye Chaand...Tera aur Mera Rabb ek hi hai. aye ALLAH...(humarey liye) ye Hidaayat aur bhalaai wala Chaand ho. ...

Hazrat Mufti Asif Lajpuri Saahib دامتبرکاتkaa SpeciaL Aaj Ka Sabaq Mon 29 June '2026 se shuru Ayyaam e Beez ke3️⃣Rozeh (29-30 June '2026 -1 July '2026 ko) Rakhkar Ek Gaayab-Lupt-Vanished-Disappeared Sunnat ko Zindaah karke 1️⃣0️⃣0️⃣ Shaheedo kaa Sawaab haasiL kijiye...

a Download  Audio SPECIAL AAJ KA SABAQ by HAZRAT MUFTI ASIF LAJPURI sb db Maah e MuharRam uuL Haraam  1449 Ayyaam e Beez ke 3 Sunnat Rozeh Baroz MON.-TUE.-WED. 29-30 JUNE  '2026  aur 1 July '2026 ko Ayyaam e Beez ke 3 SunnatRozeh hein jismein PiR Momday kaa SunnatRozah bhee ShaamiL hein. * Nasaaee Shareef kee Hadees No. 2410 ke Mutabiq Har Mahiney Teen Rozeh rakhna Umar par Rozaah Rakhney Jaisaa hai !! * Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh  ki Kitaab  Beheshti Zevar Safha Number 137 ke mutabiq ye Teen Rozho ka Sawaab Ek Saal ke Rozeh ke Barabur hai !! https://www.aajkasabaq.com/2019/06/no_0.html?m=1 Aaj ka Sabaq aajkasabaq.com

Aaj ka Sabaq How to Search Aaj ka Sabq ? | Talaash kaise karey?

Search karneka Aasaan Tareeqaah sirf number daalkar search karne se bahoot saare dusre posts bhee search result mein aayenge jaise aaj ka sabaq no. 1 chaahiye toah agar sirf 1 search karenge toah aaj kao sabaq 1 ke saath saath 11, 111 aur sirf aaj ka sabaq hi naheen aaj ka dars e quraan ke bhee 1, 11 wagairaah aa jaayengaa eesliye subject aur number daaliye jaise ● aaj kaa dars e quraan 1, 2, 3....1111 ya sirf quraan 1, 2....1111 ● huquq ul ibaad  1 2 3.....500 yaa sirf Rights 1, 2 ....500 ● MaaBaap-1, 2, 100 ● jhuth 1, 2, 3 ...100 ● s akhawat 1, 2, ....200 ● fazail e duruud 1 2 3.....500 ● hayaatuusSahaabaah 1 2 3....1100 ● sirat un nabi 1 2 3....1100 ● sirat e ambiyaa 1 2 3...1111 ● valentine day ● 31st dec. aur 1st jan ki raat ka night ka... ● april fool ● Rama'Zaan ul Mubaarak ke Fazail aur Masail 1, 2 , ...30 ●  Miraas ko Taqseem karna 1, 2, ....100 ● Note 1 2 3 ● Bumper Offer zil hijja ke 9 rozeh ● 1 2 3 talaaq ● radd e shakeel ● dajjaal ● mazaaq ● Aaj hee Apney Maa...