No.1 Website for Aaj ka Sabaq | Aaj ka Sabaq No. 160_MAL | Huquq ul Ibaad/Human Rights - 148
AAJ KA SABAQ by HAZRAT MUFTI ASIF LAAJPURI sb db
Chuglee karney wale ko Azaab e Qabr !!
Aaj Ka sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Gujishta kal ye Bataya tha ke Gheebat se Ziyaadaah Bura Gunaah Chuglee hai jisko Ara'bee Zubaan mein Nameemaa kaha jata hai jiska saheeh Tarjama ye hai ke Gheebat karney wale kee Gheebat ke saath saath ye bhee Niyyat hoti hai ke Gheebat sunneywale ke zariye jiskee Gheebat kee hai uusko Nuqsaan bhee Pahooche...
Ab Aage Padhiye...

Mafhum e Hadees :
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ka Guzar Do Qabron ke paas se hua, RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Farmaya :
Dono Saahib e Qabr par Aazaab ho raha hai...
Ek ko (Dunya mein) Peshaab ke Qatron se Naheen Bachney par Aazaab e Qabr ho raha tha aur
Dusrey Saahib e Qabr ko Chuglee kee wajeh se Azaab e Qabr ho raha tha...
• Point...Nukta...•
Jiski Chuglee hoti hai uusey Dunya mein Nuqsaan/ BeIzzatee ka Saamnaa karna padta hai lekin Aakhirat mein Chuglee karney wale ke Sawaab mein se Hissa milenga lekin Chuglee karney wale ko toa Dunya mein bhee Chuglee ki Sazaa hoti hai aur Saath Saath Aalam e Barzakh mein Azaab e Qabr honga PLUS Aakhirat mein bhee Ruswaaee aur Nuqsaan uuthaana honga...
----------------------------------
----------------------------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
Comments
Post a Comment