Skip to main content

Aaj ka Sabaq How to Search Aaj ka Sabq ? | Talaash kaise karey?

Search karneka Aasaan Tareeqaah sirf number daalkar search karne se bahoot saare dusre posts bhee search result mein aayenge jaise aaj ka sabaq no. 1 chaahiye toah agar sirf 1 search karenge toah aaj kao sabaq 1 ke saath saath 11, 111 aur sirf aaj ka sabaq hi naheen aaj ka dars e quraan ke bhee 1, 11 wagairaah aa jaayengaa eesliye subject aur number daaliye jaise ● aaj kaa dars e quraan 1, 2, 3....1111 ya sirf quraan 1, 2....1111 ● huquq ul ibaad  1 2 3.....500 yaa sirf Rights 1, 2 ....500 ● MaaBaap-1, 2, 100 ● jhuth 1, 2, 3 ...100 ● s akhawat 1, 2, ....200 ● fazail e duruud 1 2 3.....500 ● hayaatuusSahaabaah 1 2 3....1100 ● sirat un nabi 1 2 3....1100 ● sirat e ambiyaa 1 2 3...1111 ● valentine day ● 31st dec. aur 1st jan ki raat ka night ka... ● april fool ● Rama'Zaan ul Mubaarak ke Fazail aur Masail 1, 2 , ...30 ●  Miraas ko Taqseem karna 1, 2, ....100 ● Note 1 2 3 ● Bumper Offer zil hijja ke 9 rozeh ● 1 2 3 talaaq ● radd e shakeel ● dajjaal ● mazaaq ● Aaj hee Apney Maa...

Aaj ka Sabaq

No.1 Website for Aaj ka Sabaq | Aaj ka Sabaq No. 141_MAL |  Huquq ul Ibaad/Human Rights - 129



AAJ KA SABAQ by HAZRAT MUFTI ASIF LAAJPURI sb db

Surah (No.49) Hujuraat Aayat No. 10 se 13 (49:10) ka Mafhumi Tarjuma :
10 |(Tamaam) Mua'meen (aur har Insaan) Aapas mein Bhai (bhai) hai, agar (do insaano mein koi ladaai, ranjish ho gayee ho toa) Sulaah kar do Apne do Bhaiyyo (insaano) mein aur (sulaah karane mein naa insaafi karne se) Daro ALLAH se taake Tum par Raham kiya jaaye.. 11| aye Imaanwaalon, Hasi-Mazaaq Naa Uudaaye koi (ek) Qaum kisi Dusri Qaum ki (ya Ek Insaan Dusrey Insaan ki kyuke) ho sakta hai (jinka Mazaaq Uudaaya jaa raha hai wo Mazaaq Uudaaney walon se) Behtar ho aur (koi) Avratey bhi Dusri Avraton ka Mazaaq Naa Uudaaye kya Baeed hai ke jin Avraton ka Mazaaq Uudaaya ja raha hai wo Mazaaq Uudaaney wali (Avraton) se Behtar ho...aur Ek Dusron ko Taana mat diya karo aur Ek Dusron ko Burey Naamo se (ya laqabo se) Naa Pukaara karo...Imaan laaney ke Baad ye Buri Baat hai (yaani ye sab kaam gair Imaan walon ke hai, imaan walo ko zebaa Nahin detey) aur Jo inn Kaamo se Tavbaah Nahin karenga wohi (ALLAH ki nazar mein) Zaalim hai... 12 | aye Imaanwaalon, Bachoo Tum BadGumaani se, beshak Baaz Shak toa Gunaah hai aur Mat Tatoolo kisaka Raaz aur Mat Bura kaho Peeth Pichhey Ek Dusro ko (Gheebat mat karo) , Kya Achchha lagta hai Tum mein se kisi ko ye ke Khaaye wo Ghosht Apney Murda Bhai ka?? ye (Murda ka Ghosht khana) toa Tumhe NaaGawaar hai...aur Daro ALLAH se beshak ALLAH muAaf karney wala Raheem (maherbaan) hai... 13 | aye Insaano/Manushya/Logon...BeShak Hum ALLAH ne Paidaah kiya (tamaam Insaano ko) Ek Mard (hazrat Aadam a.s.) aur Ek Aurat (hazrat Maa Hawwa a.s.) Se aur Banaye Tumhaare Kumbey aur Kabeeley taake Pehchaano Ek Dusro ko...Yaqeenan Bahoot Ikraamwala Tum mein se ALLAH ke Nazdeek Wo (shakhs) hai jo (Tum mein) Ziyaadaah Taqwey wala (Parhezgaar, Khuda se Darney wala) hai, BeShak ALLAH (har cheez ka) Jaanneywala (har tarah ki) Khabar rakhney wala hai !! Aaj Ka Sabaq No. 47 se 140 mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Surah (No.49) Hujuraat Aayat No. 10 se 13 (49:10-13) par qareeb 93 aSbaaq diye jismein in 14 Ahkaam (Commandments) par Qeemtee Baatey Bataayee hai,

Surah Hujuuraat ki Aayaat No. 10 se 13 ke 14 Ahkaam-Commandments
1) Do Insaano ke Bich Ranjish/Ladaai mein Sulah Karao
2) Sulah Karaney mein Naa-insaafee Mat karo (yaanee kisi ki Favour mat karo), Naa-insaafee karney mein ALLAH se Daro
3) kisi bhi Qaum (ya Mazhab-Dhram-Religion) ki Hasee-Mazaaq Mat uudaao
4) kisi par aib Mat laagaao
5) kisi ka Buraa Naam/Laqab Mat Rakho (Takla, kaana,Poopat) 
6) Bad Gumaanee Mat Karo
7) kisi Tooh Mein Mat lago
8) kisi ke Raaz/Bhed jaanney ki justaju mein Mat lago
9) kisi ki aisee Baat ki Tehqeeq/jaasusi mein Mat karo jisey wo Poshidaa rakhna chaahta ho
10) kisi ke Peth Pichey uusey Bura Mat kaho
11) kisi ki Gheebat Mat karo kyuke ye Murda Bhai ke Ghost khaney jaisa hai.
12) kisi par Bohtaan Naa lagao
(kisi ne ek baar zina kiya ho uuski buraee mein ye kehna ke uusne Ek baar Zina kiya hai ye toa Gheebat hai aur Ek se ziyaadaah baar Zina kiya hai ye Kehna Bohtaan hai)  
13) koi Bhi Insaan ko uuskey Nasab, Khaandaan, Karobaar, Zubaan wagairaah ke Aitbaar se Haqeer-Neech Mat Samjo
14) Khudko Nasab, Khaandaan, Karobaar, Zubaan wagairaah ke Aitbaar se A'laa Mat Samjo
(har Insaan Hazrat Aadam a.s. ki Avlaad hai, koi uuch-neech nahee, ALLAH ke Nazdik sirf Muttaqee hi A'laa hai )

Sochaa Kabhee ??
Sirf 4 Aayato mein 14 Ahkaam-commandments hai toa QurAan ki 6666 Aayaato mein Kul Kitney Ahkaam (Commandments) hai ??

• Point...Nukta...•
Surah (No.6) AnAam ki Aayaat No. 151-153 (06:151-153) ye 3 Aayaato mein bhi Tavraat ke Dus Ahkaam hai jisko Yahud/Jew ke saath saath Dunya ke Tamaam log 'Ten Commandments' kehtey hai...
-----------------------------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..

Comments

Popular posts from this blog

ChaandRaat kee SunnatDuAa Padh lijiye MangaĹ 16 June '26 ChaandRaat ki SunnatDuAa Padh lijiye Aaj Ka Sabaq Hazrat Mufti Asif Lajpuri Saahibدامت برکاتہم العالیہka Aaj Ka Sabaqआज क़ा सबक़آج کا سبق Aaj ka Sabaq https://www.aajkasabaq.com World No.1 Website for World No. 1 Aaj ka Sabaq Aaj Ka Dars e QurAan Aaj ka Wazeefa SpeciaL Aaj ka Sabaq by Hazrat Mufti Asif Lajpuri Saahib DB. Mail your Mobile Number to aajkasabaq.com@gmail.com or WhatsApp your Mobile Number to +918689845277 to Join Aaj ka Sabaq WhatsApp Group/BroadCast List.

Download  Audio SPECIAL AAJ KA SABAQ by HAZRAT MUFTI ASIF LAJPURI sb db Maah e Safar uuL MuzafFar  1449 ChaandRaat kee SunnatDuAa Baroz Budh-WednesDay 15 JULY 2026 ko Chaand Dekhkar yaa Chaand Nazar asne kaa Ailaan hotey hee ChaandRaat ke ye SunnayDuAa padhkar 100 Shaheedo kaa Sawaab haaseeL kijiye. اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ عَلَيْنَا بِالْأَمْنِ وَالْإِيْمَانِ وَالسَّلَامَةِ وَالْإِسْلَامِ رَبِّي وَرَبُّكَ اللَّهُ هِلَالُ رُشْدٍ وَخَيْرٍ. ALLAHumma Ahillahu Alayna bil Amni wal Imaani WasSalaamati wal Islaami Rabbi wa Rabbu-KALLAHu Hilaa-lu Rushdiw wa Khayrin. અલ્લાહુમ્મ અહિલ્લહુ અલયના બિલ અમ્ની વલ ઇમાની વસ્સલામતી વલ ઇસ્લામી રબ્બિ વ રબ્બુકલ્લાહ હિલા-લુ રુશદિવ્વ ખયરિન. अल्लाहुम्म अहिल्लहु अलयना बिल् अम्नी वल इमानी वस्सलामति वल इस्लामि रब्बि व रब्बुकल्लाह हिला-लु रुशदिव्व खयरिन । Tarjamaa yaa ALLAH..ees Chaand ko humpar Amno-Amaan, Salaamati aur Islaam ke saath Tulu farmaa. aye Chaand...Tera aur Mera Rabb ek hi hai. aye ALLAH...(humarey liye) ye Hidaayat aur bhalaai wala Chaand ho. ...

Hazrat Mufti Asif Lajpuri Saahib دامتبرکاتkaa SpeciaL Aaj Ka Sabaq Mon 29 June '2026 se shuru Ayyaam e Beez ke3️⃣Rozeh (29-30 June '2026 -1 July '2026 ko) Rakhkar Ek Gaayab-Lupt-Vanished-Disappeared Sunnat ko Zindaah karke 1️⃣0️⃣0️⃣ Shaheedo kaa Sawaab haasiL kijiye...

a Download  Audio SPECIAL AAJ KA SABAQ by HAZRAT MUFTI ASIF LAJPURI sb db Maah e MuharRam uuL Haraam  1449 Ayyaam e Beez ke 3 Sunnat Rozeh Baroz MON.-TUE.-WED. 29-30 JUNE  '2026  aur 1 July '2026 ko Ayyaam e Beez ke 3 SunnatRozeh hein jismein PiR Momday kaa SunnatRozah bhee ShaamiL hein. * Nasaaee Shareef kee Hadees No. 2410 ke Mutabiq Har Mahiney Teen Rozeh rakhna Umar par Rozaah Rakhney Jaisaa hai !! * Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh  ki Kitaab  Beheshti Zevar Safha Number 137 ke mutabiq ye Teen Rozho ka Sawaab Ek Saal ke Rozeh ke Barabur hai !! https://www.aajkasabaq.com/2019/06/no_0.html?m=1 Aaj ka Sabaq aajkasabaq.com

Aaj ka Sabaq How to Search Aaj ka Sabq ? | Talaash kaise karey?

Search karneka Aasaan Tareeqaah sirf number daalkar search karne se bahoot saare dusre posts bhee search result mein aayenge jaise aaj ka sabaq no. 1 chaahiye toah agar sirf 1 search karenge toah aaj kao sabaq 1 ke saath saath 11, 111 aur sirf aaj ka sabaq hi naheen aaj ka dars e quraan ke bhee 1, 11 wagairaah aa jaayengaa eesliye subject aur number daaliye jaise ● aaj kaa dars e quraan 1, 2, 3....1111 ya sirf quraan 1, 2....1111 ● huquq ul ibaad  1 2 3.....500 yaa sirf Rights 1, 2 ....500 ● MaaBaap-1, 2, 100 ● jhuth 1, 2, 3 ...100 ● s akhawat 1, 2, ....200 ● fazail e duruud 1 2 3.....500 ● hayaatuusSahaabaah 1 2 3....1100 ● sirat un nabi 1 2 3....1100 ● sirat e ambiyaa 1 2 3...1111 ● valentine day ● 31st dec. aur 1st jan ki raat ka night ka... ● april fool ● Rama'Zaan ul Mubaarak ke Fazail aur Masail 1, 2 , ...30 ●  Miraas ko Taqseem karna 1, 2, ....100 ● Note 1 2 3 ● Bumper Offer zil hijja ke 9 rozeh ● 1 2 3 talaaq ● radd e shakeel ● dajjaal ● mazaaq ● Aaj hee Apney Maa...