Skip to main content

Aaj ka Sabaq


No.1 Website for Aaj ka Sabaq | AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-83 | Huquq ul Ibaad/Human Rights - 71


AAJ KA SABAQ by HAZRAT MUFTI ASIF LAAJPURI sb db

Maal mein Milaawat
Haraam hai...

kal  Aaj Ka Sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laajpuri sb db ne batlaaya tha ke aaj ke Daur mein Bhai Qism ke log kaam par nahin aaney ke BaaWajud Dhamki, Laalach ya Rishwat dekar Haazri Record karne wale Incharge ko Register mein apnee Jhuthi Haazri likhne Majbur kartey hai lekin Pagaar barabur Purey Mahine ka wasul karte hai ye Amal Dhokha-Jhuth hai aur es ka Pagaar lena  Haraam hai...
Ab Aage Padhiye....
Aaj kal Maal mein Milaawat (adulteration) Aam ho gayee hai...
Shahed (honey) mein Shakkar (sugar) milaayee jaatee hai...
Asli Ghee mein vegetable Ghee milaayaa jata hai...
Dudh mein Paani..
Non-Branded Cheezo ke Label Badli karke uusey Branded Banakar becha ja raha hai jo NaaJaiz aur Haraam hai aur Guhaah e Tatfeef hai aur Logon ke Huquq ada karne mein Khayaanat hai...!!

Ponder-Sochooo

Jis tarah Shahed (honey) mein Shakkar (sugar) milaakar bechna Haraam hai es tarah Asal Deen mein BeAdat milaana bhi Haraam hai...


•Nukta•

Aaj hamari Namaaz-Rozeh-Haj-Ibaadat-Tasbih-Zik'r mein kotaahi, Gaflat aur Ekhlaas ki Kamee esliye hai kyuke Hum Huquq ul Ibaad ke maamley mein Laa Parwaah hai...Jab tak Insaan Logon ke Huquq ki Mukammal Adaigee Nahin karta tab tak uussey ALLAH ke Haq ki bhi Mukammal Adaigee Nahin ho sakti...!!


-----------------------------------

RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..

Comments

Popular posts from this blog

Hazrat Mufti Asif Lajpuri Saahib دامتبرکاتkaa SpeciaL Aaj Ka Sabaq SAT 3 January '26 se shuru Ayyaam e Beez ke3️⃣Rozeh (3-4-5 January '2026 ko) Rakhkar Ek Gaayab-Lupt-Vanished-Disappeared Sunnat ko Zindaah karke 1️⃣0️⃣0️⃣ Shaheedo kaa Sawaab haasiL kijiye...

Download  Audio SPECIAL AAJ KA SABAQ by HAZRAT MUFTI ASIF LAJPURI sb db Maah e Jamaadil Aakhir 1448 Ayyaam e Beez ke 3 Sunnat Rozeh Baroz Sanichar-EeetWaar-PiR 3-4-5 JAN . '2026   ko Ayyaam e Beez ke 3 SunnatRozeh hein, Jismein PiR kaa SunnatRozah bhee ShaameeĹ hein. * Nasaaee Shareef kee Hadees No. 2410 ke Mutabiq Har Mahiney Teen Rozeh rakhna Umar par Rozaah Rakhney Jaisaa hai !! * Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh  ki Kitaab  Beheshti Zevar Safha Number 137 ke mutabiq ye Teen Rozho ka Sawaab Ek Saal ke Rozeh ke Barabur hai !! https://www.aajkasabaq.com/2019/06/no_0.html?m=1 Aaj ka Sabaq aajkasabaq.com

Hazrat Mufti Asif Lajpuri Saahib دامتبرکاتChaandRaat ki SunnatDuA | SUN. 21 DECEMBER 2025 ko ChaandRaat hein. www.aajkasabaq.com

Download  Audio ChaandRaat kee SunnatDuAa by Hazrat Mufti Asif Lajpuri Saahibدامتبرکات kaa SpeciaL Aaj ka Sabaq ChaandRaat ki SunnatDuAa Maah e Rajab uL MuRajjab  kee CHAANDRAAT SUNDAY 21 DECEMBER ko in sha ALLAH hai, Magrib se Pehle ya Baad Chaand Dekhkar (ya bila dekhey) ye Nabwee DuAaee Padh lijiye : (Chaand dekhna mumkin Naa ho toa bila Chaand dekhe bhi DuAaee padhna durust hai) اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ عَلَيْنَا بِالْأَمْنِ وَالْإِيْمَانِ وَالسَّلَامَةِ وَالْإِسْلَامِ رَبِّي وَرَبُّكَ اللَّهُ هِلَالُ رُشْدٍ وَخَيْرٍ. ALLAHumma Ahillahu Alayna bil Amni wal Imaani WasSalaamati wal Islaami Rabbi wa Rabbu-KALLAHu Hilaa-lu Rushdiw wa Khayrin. અલ્લાહુમ્મ અહિલ્લહુ અલયના બિલ અમ્ની વલ ઇમાની વસ્સલામતી વલ ઇસ્લામી રબ્બિ વ રબ્બુકલ્લાહ હિલા-લુ રુશદિવ્વ ખયરિન. अल्लाहुम्म अहिल्लहु अलयना बिल् अम्नी वल इमानी वस्सलामति वल इस्लामि रब्बि व रब्बुकल्लाह हिला-लु रुशदिव्व खयरिन । Tarjamaa yaa ALLAH..ees Chaand ko humpar Amno-Amaan, Salaamati aur Islaam ke saath Tulu farmaa. aye Chaand...Tera aur Mer...

Aaj ka Sabaq How to Search Aaj ka Sabq ? | Talaash kaise karey?

Search karneka Aasaan Tareeqaah sirf number daalkar search karne se bahoot saare dusre posts bhee search result mein aayenge jaise aaj ka sabaq no. 1 chaahiye toah agar sirf 1 search karenge toah aaj kao sabaq 1 ke saath saath 11, 111 aur sirf aaj ka sabaq hi naheen aaj ka dars e quraan ke bhee 1, 11 wagairaah aa jaayengaa eesliye subject aur number daaliye jaise ● aaj kaa dars e quraan 1, 2, 3....1111 ya sirf quraan 1, 2....1111 ● huquq ul ibaad  1 2 3.....500 yaa sirf Rights 1, 2 ....500 ● MaaBaap-1, 2, 100 ● jhuth 1, 2, 3 ...100 ● s akhawat 1, 2, ....200 ● fazail e duruud 1 2 3.....500 ● hayaatuusSahaabaah 1 2 3....1100 ● sirat un nabi 1 2 3....1100 ● sirat e ambiyaa 1 2 3...1111 ● valentine day ● 31st dec. aur 1st jan ki raat ka night ka... ● april fool ● Rama'Zaan ul Mubaarak ke Fazail aur Masail 1, 2 , ...30 ●  Miraas ko Taqseem karna 1, 2, ....100 ● Note 1 2 3 ● Bumper Offer zil hijja ke 9 rozeh ● 1 2 3 talaaq ● radd e shakeel ● dajjaal ● mazaaq ● Aaj hee Apney Maa...