Huquq ul Ibaad - 6
MAL-AKS-18
Huquq ul Ibaad - 6
Sachchaa Musalmaan Kaun ??
Dunya ke kuchh faaidey haasil karne ke liye Aaj ka Insaan, Insaan Nahin balki Darinda bana hua hai, dusre ki Botiya nochney, dusro ki Khaal uutaarney-khichney aur dusro ka Khoon peeney ki Fiqr mein hai jab ki mafhum e Hadsees ke mutabiq RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ka Farmaan hai ke :
Sachcha-Pakka Kaamil Musalmaan wohi hai jiske Haath aur Zubaan se Dusre Musalmaan (aur har Insaan) Mahfuz rahe !!
Har Roz humara waasta Insaano se padta hai, aapas mein ek dusre ke saath milte waqt isee tarah aapas mein LenDen ke waqt, har kisi ke saath uuthte baithte waqt zindagi ke har mod par hume is baat ka istezaar aur is baat ka pura khayaal rakhna hai ke humaari Zaat, Haath, Zubaan, Maamlaat se kisi ko koi Takleef Pahochni Nahin chahiye, ye saari cheeze Huquq ul Ibaad mein daakhil hai jiski Aaj Uummat e Muslima ko bahoot zarurat hai !!
Nukta
Har Musalmaan is tarah soch samajkar Zindagi guzarne ki koshish kare toa aahista aahista humare Muaashre se Bigaad aur Buraaee khatam hongi aur ek Noorani aur Paakiza Maahool banenga
in sha ALLAH.
-----------------------------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
Comments
Post a Comment