Search karneka Aasaan Tareeqaah sirf number daalkar search karne se bahoot saare dusre posts bhee search result mein aayenge jaise aaj ka sabaq no. 1 chaahiye toah agar sirf 1 search karenge toah aaj kao sabaq 1 ke saath saath 11, 111 aur sirf aaj ka sabaq hi naheen aaj ka dars e quraan ke bhee 1, 11 wagairaah aa jaayengaa eesliye subject aur number daaliye jaise ● aaj kaa dars e quraan 1, 2, 3....1111 ya sirf quraan 1, 2....1111 ● huquq ul ibaad 1 2 3.....500 yaa sirf Rights 1, 2 ....500 ● MaaBaap-1, 2, 100 ● jhuth 1, 2, 3 ...100 ● s akhawat 1, 2, ....200 ● fazail e duruud 1 2 3.....500 ● hayaatuusSahaabaah 1 2 3....1100 ● sirat un nabi 1 2 3....1100 ● sirat e ambiyaa 1 2 3...1111 ● valentine day ● 31st dec. aur 1st jan ki raat ka night ka... ● april fool ● Rama'Zaan ul Mubaarak ke Fazail aur Masail 1, 2 , ...30 ● Miraas ko Taqseem karna 1, 2, ....100 ● Note 1 2 3 ● Bumper Offer zil hijja ke 9 rozeh ● 1 2 3 talaaq ● radd e shakeel ● dajjaal ● mazaaq ● Aaj hee Apney Maa...
Huquq ul Ibaad - 3
MAL-AKS-15
Huquq ul Ibaad - 3
Kaaba'h ko Tod Giraaney se bhi Bada Gunaah kaunsa ??
Ghar-Masjid mein Tez Aawaaz se Baat/WaAz karke baahar ke
muslim/gair-muslim logon ko Takleef pahochaana Mana hai !!
Hazrat AbduLLAH Ibn e MasUud ki Riwaayat wali Ibn e Maaja Shareef ki ek Hadees ke mafhum ke mutabiq
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne Kaaba'h ko Khitaab kartey hue Farmaaya :-
aye ALLAH ke Ghar,
Tu kitnee Hurmat wala hai...Kitnee Azmat wala hai...Kitney TaqadDuus wala hai...Kitna MuqadDas hai...lekin
Ek Cheez aisee hai jiski Azmat, jiska TaqadDuus tujhse bhi ziyaadaah hai...
Wo Cheez hai Ek Musalmaan ki Jaan-Maal-Aabru, ye Teen Cheeze aisee hai aye KaabahtuLLAH uunki Hurmat Tujh se bhi ziyaadaah hai !!
# Kisi Musalmaan (ya Insaan) ki Jaan-Maal-Aabru ko Nuqsaan Pahochana Kaaba'h ko Todney se bhi Kabeera Gunaah hai !!
# Kisi Musalmaan (ya Insaan) ko Takleef Pahochaana aisa hi Gunaah e Kabeera hai jaise Sharaab pina, Daaka daalna, Chori karna, Zeenaa karna wagairaah.
~Ponder...Sochoo...
Subah se Shaam tak hum kitne Insaano ki Jaan-Maal-Izzat-Aabru par humlaa karke Naa jaane kitney DiL ko Todtey hai yaani kitni martaba Kaaba'h ko Todtey hai ??
-----------------------------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..

Comments
Post a Comment